us samt na jaana jaan meri
us samt na jaanā jaan mirī
us samt kī saarī raushaniyāñ
āñkhoñ ko bujhā kar jaltī haiñ
us samt kī ujlī miTTī meñ
nāgin āshā.eñ paltī haiñ
us samt kī sub.heñ shaam talak
hoñToñ se zahr ugaltī haiñ
us samt na jaanā jaan mirī
us samt ke āñgan maqtal haiñ
us samt dahaktī galiyoñ meñ
zahrīlī baas kā jaadū hai
us samt mahaktī kaliyoñ meñ
kāfūr kī qātil ḳhushbū hai
us samt kī har dahlīz tale
shamshān hai jalte jismoñ kā
us samt fazā par saaya hai
be-ma.anī mub.ham ismoñ kā
us samt na jaanā jaan mirī
us samt kī saarī phul-jhaḌiyāñ
bārūd kī taal meñ Dhaltī haiñ
us samt ke patthar rastoñ meñ
muñh-zor havā.eñ chaltī haiñ
us samt kī saarī raushaniyāñ
āñkhoñ ko bujhā kar jaltī haiñ
us samt ke vahmoñ meñ ghar kar
kho baiThogī pahchān mirī
us samt na jaanā jaan mirī
us samt na jaana jaan meri
us samt ki sari raushaniyan
aankhon ko bujha kar jalti hain
us samt ki ujli miTTi mein
nagin aashaen palti hain
us samt ki subhen sham talak
honTon se zahr ugalti hain
us samt na jaana jaan meri
us samt ke aangan maqtal hain
us samt dahakti galiyon mein
zahrili bas ka jadu hai
us samt mahakti kaliyon mein
kafur ki qatil KHushbu hai
us samt ki har dahliz tale
shamshan hai jalte jismon ka
us samt faza par saya hai
be-mani mubham ismon ka
us samt na jaana jaan meri
us samt ki sari phul-jhaDiyan
barud ki tal mein Dhalti hain
us samt ke patthar raston mein
munh-zor hawaen chalti hain
us samt ki sari raushaniyan
aankhon ko bujha kar jalti hain
us samt ke wahmon mein ghar kar
kho baiThogi pahchan meri
us samt na jaana jaan meri
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 722)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.