use jina nahin aata jise marna nahin aata
ḳhudā us qaum ko izzat nahīñ detā zamāne meñ
jise qaumī buzurgoñ kā adab karnā nahīñ aatā
yaqīnan hotī hai marne se bad-tar zindagī us kī
jise mulk-o-vatan ke vāste marnā nahīñ aatā
butoñ kā ḳhauf rakhtā hai use larza ba-tan har-dam
ḳhudā ke ḳhauf se jis shaḳhs ko Darnā nahīñ aatā
javāñ mardoñ hī kā hai kaam qata-e-rāh-e-hurriyat
ki is manzil meñ buzdil ko qadam dharnā nahīñ aatā
muqaddar meñ hai us ke umr bhar pāmāl-e-ġham rahnā
jise pāmālī-e-millat kā ġham karnā nahīñ aatā
use zinda na samjho saañs hai go jis ke siine meñ
magar āzādī-e-millat kā dam bharnā nahīñ aatā
ba-qaul-e-hazrat-e-akbar fanā meñ hai baqā muzmar
use jiinā nahīñ aatā jise marnā nahīñ aatā
KHuda us qaum ko izzat nahin deta zamane mein
jise qaumi buzurgon ka adab karna nahin aata
yaqinan hoti hai marne se bad-tar zindagi us ki
jise mulk-o-watan ke waste marna nahin aata
buton ka KHauf rakhta hai use larza ba-tan har-dam
KHuda ke KHauf se jis shaKHs ko Darna nahin aata
jawan mardon hi ka hai kaam qata-e-rah-e-hurriyat
ki is manzil mein buzdil ko qadam dharna nahin aata
muqaddar mein hai us ke umr bhar pamal-e-gham rahna
jise pamali-e-millat ka gham karna nahin aata
use zinda na samjho sans hai go jis ke sine mein
magar aazadi-e-millat ka dam bharna nahin aata
ba-qaul-e-hazrat-e-akbar fana mein hai baqa muzmar
use jina nahin aata jise marna nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.