Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

use kahna mohabbat dil ke tale toD deti hai

Erum  Zehra

use kahna mohabbat dil ke tale toD deti hai

Erum Zehra

MORE BYErum Zehra

    use kahnā mohabbat dil ke taale toḌ detī hai

    use kahnā mohabbat do diloñ ko joḌ detī hai

    use kahnā mohabbat naam hai rūhoñ ke milne

    use kahnā mohabbat naam hai zaḳhmoñ ke silne

    use kahnā mohabbat to diloñ meñ raushnī bhar de

    use kahnā mohabbat pattharoñ ko mom kar de

    use kahnā mohabbat duur hai rasmoñ-rivājoñ se

    use kahnā mohabbat māvarā taḳhtoñ se tājoñ se

    use kahnā mohabbat phuul kaliyāñ aur ḳhushbū hai

    use kahnā mohabbat chāñd-tāre aur jugnū hai

    use kahnā mohabbat nahīñ nemul-badal koī

    use kahnā mohabbat nahīñ hai ham-shakal koī

    use kahnā mohabbat par yaqīñ kar lo mire hamdam

    use kahnā mohabbat dil meñ tum bhar lo mire hamdam

    use kahna mohabbat dil ke tale toD deti hai

    use kahna mohabbat do dilon ko joD deti hai

    use kahna mohabbat nam hai ruhon ke milne ka

    use kahna mohabbat nam hai zaKHmon ke silne ka

    use kahna mohabbat to dilon mein raushni bhar de

    use kahna mohabbat pattharon ko mom sa kar de

    use kahna mohabbat dur hai rasmon-riwajon se

    use kahna mohabbat mawara taKHton se tajon se

    use kahna mohabbat phul kaliyan aur KHushbu hai

    use kahna mohabbat chand-tare aur jugnu hai

    use kahna mohabbat ka nahin nemul-badal koi

    use kahna mohabbat ka nahin hai ham-shakal koi

    use kahna mohabbat par yaqin kar lo mere hamdam

    use kahna mohabbat dil mein tum bhar lo mere hamdam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now