usi aag mein
usī aag meñ
mujhe jhoñk do
vahī aag jis ne bulāyā thā
mujhe ek din dam-e-sho.alagī
dam-e-sho.alagī mirā intizār kiyā bahut
ka.ī ḳhushk lakḌiyoñ shāḳhchoñ, ke hisār meñ
jahāñ barg-o-bār kā Dher thā
dam-e-sho.alagī
mujhe ek patte ne ye kahā thā ghamanD se
idhar aa ke dekh
ki is tapīda ḳhumār meñ
hamīñ ham haiñ
lakḌiyoñ shāḳhchoñ ke hisār meñ
yahāñ aur kaun vajūd hai
yahāñ sirf ham haiñ ruke hue
kahīñ aadhe aur
kahīñ puure puure jale hue
dam-e-sho.alagī
hameñ jo masarrat-e-raqs thī
tumheñ kyā ḳhabar
agar aag tum ko aziiz thī
to ye jism kaun sī chiiz thī
jise tum kabhī na jalā sake
vo jo raaz thā pas-e-sho.alagī nahīñ pā sake!
so kahā thā maiñ ne ye ek adh-jale barg se
mujhe dukh bahut hai ki aag ne
mirā intizār kiyā bahut
magar un dinoñ
kisī aur tarz kī aag meñ
mirā jism jalne kī aarzū meñ asiir thā
magar un dinoñ maiñ na jal sakā
maiñ na juun apnī badal sakā
magar ab vo aag
ki jis meñ tum ne panāh lī
jahāñ tum jale
jahāñ tum ajiib sī lazzatoñ se gale mile
usī aag meñ mujhe jhoñk do
usi aag mein
mujhe jhonk do
wahi aag jis ne bulaya tha
mujhe ek din dam-e-shoalagi
dam-e-shoalagi mera intizar kiya bahut
kai KHushk lakDiyon shaKHchon, ke hisar mein
jahan barg-o-bar ka Dher tha
dam-e-shoalagi
mujhe ek patte ne ye kaha tha ghamanD se
idhar aa ke dekh
ki is tapida KHumar mein
hamin hum hain
lakDiyon shaKHchon ke hisar mein
yahan aur kaun wajud hai
yahan sirf hum hain ruke hue
kahin aadhe aur
kahin pure pure jale hue
dam-e-shoalagi
hamein jo masarrat-e-raqs thi
tumhein kya KHabar
agar aag tum ko aziz thi
to ye jism kaun si chiz thi
jise tum kabhi na jala sake
wo jo raaz tha pas-e-shoalagi nahin pa sake!
so kaha tha main ne ye ek adh-jale barg se
mujhe dukh bahut hai ki aag ne
mera intizar kiya bahut
magar un dinon
kisi aur tarz ki aag mein
mera jism jalne ki aarzu mein asir tha
magar un dinon main na jal saka
main na jun apni badal saka
magar ab wo aag
ki jis mein tum ne panah li
jahan tum jale
jahan tum ajib si lazzaton se gale mile
usi aag mein mujhe jhonk do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.