usi ke liye
maiñ ne dekhī nahīñ
ḳhvāb buntī huī uñgliyāñ
jin kā lams-e-gudāz
vaqt ke sard gāloñ se bahtā huā
mere hoñToñ pe aayā
to sadiyoñ kī namkīniyāñ sañg-basta diloñ ke samundar meñ
ubhre pahāḌoñ kā ik silsila ban chukī thiiñ
vo kyā silsila thā
jo ik god se gor tak reshmī taar sā tan gayā
jis pe chalte zamāne
ḳhudāvand-e-ālā ke ahkām-e-rahmat uThā.e hue raqs karte guzarte
to miTTī pe naqsh-o-nigārān-e-ġham muskurāte
tujhe yaad aate tujhe yaad karte hue
yuuñ guzarte
ki jaise kisī bhed-bhāo bharī chāñdnī-rāt se
chāñd kā bāñkpan
bādaloñ ke laḌakpan ke gaale uḌāte hue
ḳhvāb-labrez pariyoñ se chhup chhup ke guzre
ye dikhne dikhāne kī saarī mashiyyat
ye chhupne chhupāne kī saarī aziyyat
koī jheltā hai
jo tū ne akele meñ jhelī
maiñ kitne dinoñ ba.ad aayā tire paañv chhūne
hisābāt computer se nikal kar
kise DhūñDne jā chuke haiñ
baḌī se baḌī baat ko
ek bhīgī huī muskurāhaT meñ kahne kā tujh ko salīqa thā
ādād o alfāz kī bhiiḌ meñ
kis qadar maiñ akelā huuñ
tujh ko ḳhabar hai
atā kar mujhe bhī
koī aisā achchhā hunar
phuul hoñToñ ke
murda zamāne pe rakkhūñ to
ḳhushbū tirī
gul-badan ban ke jaage
tire saañs meñ saañs lene kī rāhat
mirī yaad ke baaġh meñ
ek jādū-zada nīm-ḳhvābīda shahzādi-e-zindagī kī tarah muntazir hai
yahāñ apne hone se kis ko mafar hai
koī niiñd meñ jāgne kī aziyyat nahīñ jāntā
apnī jannat kā manzar mire malgaje ḳhvāb par khol de
koī shīrīñ-takallum mire zahr meñ ghol de
fāsla niiñd aur maut ke darmiyāñ
apnī maujūdgī se banā
kar atā mojazātī hunar
maiñ to noToñ kī gintī meñ uljhe zamāne kī
vo mail huuñ
jis pe makkhī bhī aa kar nahīñ baiThtī
main ne dekhi nahin
KHwab bunti hui ungliyan
jin ka lams-e-gudaz
waqt ke sard galon se bahta hua
mere honTon pe aaya
to sadiyon ki namkiniyan sang-basta dilon ke samundar mein
ubhre pahaDon ka ek silsila ban chuki thin
wo kya silsila tha
jo ek god se gor tak reshmi tar sa tan gaya
jis pe chalte zamane
KHudawand-e-ala ke ahkaam-e-rahmat uThae hue raqs karte guzarte
to miTTi pe naqsh-o-nigaran-e-gham muskuraate
tujhe yaad aate tujhe yaad karte hue
yun guzarte
ki jaise kisi bhed-bhao bhari chandni-raat se
chand ka bankpan
baadalon ke laDakpan ke gale uDate hue
KHwab-labrez pariyon se chhup chhup ke guzre
ye dikhne dikhane ki sari mashiyyat
ye chhupne chhupane ki sari aziyyat
koi jhelta hai
jo tu ne akele mein jheli
main kitne dinon baad aaya tere panw chhune
hisabaat computer se nikal kar
kise DhunDne ja chuke hain
baDi se baDi baat ko
ek bhigi hui muskurahaT mein kahne ka tujh ko saliqa tha
aadad o alfaz ki bhiD mein
kis qadar main akela hun
tujh ko KHabar hai
ata kar mujhe bhi
koi aisa achchha hunar
phul honTon ke
murda zamane pe rakkhun to
KHushbu teri
gul-badan ban ke jage
tere sans mein sans lene ki rahat
meri yaad ke bagh mein
ek jadu-zada nim-KHwabida shahzadi-e-zindagi ki tarah muntazir hai
yahan apne hone se kis ko mafar hai
koi nind mein jagne ki aziyyat nahin jaanta
apni jannat ka manzar mere malgaje KHwab par khol de
koi shirin-takallum mere zahr mein ghol de
fasla nind aur maut ke darmiyan
apni maujudgi se bana
kar ata mojazati hunar
main to noTon ki ginti mein uljhe zamane ki
wo mail hun
jis pe makkhi bhi aa kar nahin baiThti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.