ustad ka DanDa
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
anDā khāne se lahū jism meñ baḌh jaatā hai
chust hotā hai badan zehn nikhar jaatā hai
DañDā lekin hameñ kyā fā.eda pahuñchātā hai
jism ko detā hai dukh zehn ko uljhātā hai
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
kis qadar dete haiñ dukh ham ko ye haa.e DanDe
saarī duniyā se ḳhudā ab to miTā de DanDe
hai vo ustād burā jo ki jamā.e DanDe
hai vo shāgird bhī buddhū ki jo khaa.e DanDe
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
ab na schōl meñ DanDe kī ḳhudā.ī hogī
saare DanDoñ kī zamāne se safā.ī hogī
zor se DanDe ke hargiz na paḌhā.ī hogī
ab to schōl meñ anDoñ kī khilā.ī hogī
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
lad gayā ab to vo anDoñ kā zamāna sāhab
ho chukā ab to tarīqa ye purānā sāhab
jo mohabbat kā na gur aap ne jaanā sāhab
phir to dushvār huā paḌhnā paḌhānā sāhab
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
sar pe DanDe paḌeñ hargiz na ye uftād aa.e
tālib-e-ilm na kartā huā fariyād aa.e
kaash bhūlā huā shafqat kā sabaq yaad aa.e
baap ke ruup meñ schōl meñ ustād aa.e
chhīn le haath se ustād ke DañDā koī
badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
anDa khane se lahu jism mein baDh jata hai
chust hota hai badan zehn nikhar jata hai
DanDa lekin hamein kya faeda pahunchata hai
jism ko deta hai dukh zehn ko uljhata hai
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
kis qadar dete hain dukh hum ko ye hae DanDe
sari duniya se KHuda ab to miTa de DanDe
hai wo ustad bura jo ki jamae DanDe
hai wo shagird bhi buddhu ki jo khae DanDe
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
ab na school mein DanDe ki KHudai hogi
sare DanDon ki zamane se safai hogi
zor se DanDe ke hargiz na paDhai hogi
ab to school mein anDon ki khilai hogi
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
lad gaya ab to wo anDon ka zamana sahab
ho chuka ab to tariqa ye purana sahab
jo mohabbat ka na gur aap ne jaana sahab
phir to dushwar hua paDhna paDhana sahab
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
sar pe DanDe paDen hargiz na ye uftad aae
talib-e-ilm na karta hua fariyaad aae
kash bhula hua shafqat ka sabaq yaad aae
bap ke rup mein school mein ustad aae
chhin le hath se ustad ke DanDa koi
badle DanDe ke khila de hamein anDa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.