ustad
nek bachche dil se karte haiñ adab ustād kā
baap kī ulfat se behtar hai ġhazab ustād kā
aam logoñ kī jahālat duur karne ke liye
haq-ta.ālā ne banāyā hai sabab ustād kā
us kī barakat se jahāñ meñ phailtī haiñ nekiyāñ
kyoñ na phir ustād se raazī ho rab ustād kā
kuchh na kuchh umda sabaq detī hai us kī zindagī
ḳhulq se ḳhālī nahīñ hai koī Dhab ustād kā
jis ghaḌī nādān bachchoñ ko sikhātā hai vo ilm
chuum lete haiñ farishte aa ke lab ustād kā
bas use paḌhne-paḌhāne se hamesha kaam hai
kitnā achchhā mashġhala hai roz-o-shab ustād kā
ḳhvāh saarī umr us ke paañv dho dho kar piye
aadmī se haq adā hotā hai kab ustād kā
imtihāñ meñ hal na ho jis dam koī mushkil savāl
ḳhud pasandoñ ko patā chaltā hai tab ustād kā
shukr ke jazbāt se gardan jhukā letā huuñ maiñ
yaad aatā hai mujhe ehsān jab ustād kā
kal zamāne kī nigāhoñ meñ vo izzat pā.egā
martaba pahchān jā.egā jo ab ustād kā
us kī ālamgīr haisiyyat hai shāhoñ kī tarah
kul ajam ustād kā hai kul arab ustād kā
chal rahe haiñ aaj duniyā meñ hazāroñ mahkame
sach agar pūchho to hai ye 'faiz' sab ustād kā
nek bachche dil se karte hain adab ustad ka
bap ki ulfat se behtar hai ghazab ustad ka
aam logon ki jahaalat dur karne ke liye
haq-taala ne banaya hai sabab ustad ka
us ki barakat se jahan mein phailti hain nekiyan
kyon na phir ustad se raazi ho rab ustad ka
kuchh na kuchh umda sabaq deti hai us ki zindagi
KHulq se KHali nahin hai koi Dhab ustad ka
jis ghaDi nadan bachchon ko sikhata hai wo ilm
chum lete hain farishte aa ke lab ustad ka
bas use paDhne-paDhane se hamesha kaam hai
kitna achchha mashghala hai roz-o-shab ustad ka
KHwah sari umr us ke panw dho dho kar piye
aadmi se haq ada hota hai kab ustad ka
imtihan mein hal na ho jis dam koi mushkil sawal
KHud pasandon ko pata chalta hai tab ustad ka
shukr ke jazbaat se gardan jhuka leta hun main
yaad aata hai mujhe ehsan jab ustad ka
kal zamane ki nigahon mein wo izzat paega
martaba pahchan jaega jo ab ustad ka
us ki aalamgir haisiyyat hai shahon ki tarah
kul ajam ustad ka hai kul arab ustad ka
chal rahe hain aaj duniya mein hazaron mahkame
sach agar puchho to hai ye 'faiz' sab ustad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.