utran pahnoge
utran pahnoge
ghaaT ghaaT se dhul kar aa.ī
utran pahnoge
jaane kis kis zaat ke lams haiñ
is utran ke baḳhiyoñ meñ
kis kis nasl kī dīmak is ke dāman se hai lagī huī
kitne rañg-rezoñ ne us par
apne rañg chaḌhā.e haiñ
kitnī baar kī dhulī huī
jagah jagah se chhidī huī
anjāne hoñToñ ke nam se dhāgā dhāgā ladī huī
sau sau tarah kī ḳhushbuoñ meñ basī huī
utran pahnoge
utran pahnoge
ghaT ghaT se dhul kar aai
utran pahnoge
jaane kis kis zat ke lams hain
is utran ke baKHiyon mein
kis kis nasl ki dimak is ke daman se hai lagi hui
kitne rang-rezon ne us par
apne rang chaDhae hain
kitni bar ki dhuli hui
jagah jagah se chhidi hui
anjaane honTon ke nam se dhaga dhaga ladi hui
sau sau tarah ki KHushbuon mein basi hui
utran pahnoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.