be-shumār āñkhoñ ko chehre meñ lagā.e hue istāda hai ta.amīr kā ik naqsh-e-ajīb
ai tamaddun ke naqīb!
terī sūrat hai muhīb!
zehn-e-insānī kā tūfān khaḌā hai goyā
Dhal ke lahroñ meñ ka.ī giit sunā.ī mujhe dete haiñ magar
un meñ ik josh hai bedād kā fariyād kā ik aks-e-darāz
aur alfāz meñ afsāne haiñ be-ḳhvābī ke
kyā koī rūh-e-hazīñ
tire siine meñ bhī betāb hai tahzīb ke raḳhshanda nagīñ
ghuT ke lahreñ tire gītoñ kī suneñ mujh ko nazar aane lagā
ek talḳhāba kisī bāda-e-bad-rañg kā ik TuuTe hue sāġhar meñ
nashsha-e-mai se nazar dhundlī huī jaatī hai
raat kī tiira fazā kyuuñ mujhe ghabrātī hai?
raat kī tiira fazā meñ tirī āñkhoñ kī chamak mujh ko Darā saktī nahīñ hai maiñ to
is se bhī baḌh ke añdhere meñ rahā kartā thā
aur is tīrgi-e-rūh meñ daraḳhshāñ the sitāre dukh ke
aur kabhī bhuul meñ har najm-e-daraḳhshāñ se lapak uThte the sho.ale sukh ke
jaise rauzan se tire taan lapaktī huī phailātī hai baazū apne
jazb kar letā hai phir us ko ḳhalā kā dāman
yaad aane lage tanhā.ī meñ bahte hue aañsū apne
vahī aañsū vahī sho.ale sukh ke
lekin ik ḳhvāb thā ik ḳhvāb kī mānind lapak shāloñ kī thī
mirī taḳh.īl ke par tā.ir-e-zaḳhmī ke paroñ ke mānind
phaḌ.phaḌāte hue bekār laraz uThte haiñ
mire a.azā kā tanāo mujhe jiine hī na detā thā taḌap kar ek baar
justujū mujh ko rihā.ī kī huā kartī thī
magar afsos ki jab dard davā banñe lagā mujh se vo pābandī haTī
apne a.asāb ko āsūda banāne ke liye
bhuul kar tīrgi-e-rūh ko maiñ aa pahuñchā
is bulandī ke qadam maiñ ne liye
jis pe tū saikaḌoñ āñkhoñ ko jhapakte hue istāda hai
tire baare meñ sunā rakkhī thiiñ logoñ ne mujhe
kuchh hikāyāt-e-ajīb
maiñ ye suntā thā tire jism-e-girāñ-bār meñ bistar hai bichhā
aur ik nāznīñ leTī hai vahāñ tanhā.ī
ek phīkī sī thakan ban ke ghusī jaatī hai
zehn meñ us ke magar vo betāb
muntazir us kī hai parda larze
pairahan ek Dhalaktā huā bādal ban jaa.e
aur dar aa.e ik an-dekhī anokhī sūrat
kuchh ġharaz us ko nahīñ hai is se
dil ko bhātī hai nahīñ bhātī hai
aane vaale kī adā
us kā hai ek hī maqsūd vo istāda kare
bahr-e-a.asāb kī ta.amīr kā ik naqsh-e-ajīb
jis kī sūrat se karāhat aa.e
aur vo ban jaa.e tirā madd-e-muqābil pal meñ
zehn-e-insānī kā tūfān khaḌā ho jaa.e
aur vo nāznīñ be-sāḳhta be-lāg irāde ke baġhair
ek girtī huī dīvār nazar aane lage
shab ke be-rūh tamāshā.ī ko
bhuul kar apnī thakan kā naġhma
muḳhtasar larzish-e-chashm-e-dar se
reg ke qasr ke mānind subuksār kare
bahr-e-a.asāb kī ta.amīr kā ik naqsh-e-ajīb
ek girtī huī dīvār kī mānind lachak khā jaa.e
ye hikāyāt mire zehn meñ ik bu-e-ḳhirāmāñ ban kar
jab kabhī chāhtī thiiñ raqs kiyā kartī thiiñ
aur ab dekhtā huuñ saikaḌoñ āñkhoñ meñ tirī
ek hī chashm-e-daraḳhshāñ mujhe aatī hai nazar
kyā isī chashm-e-daraḳhshāñ meñ hai sho.ala sukh kaa?
haath se apne ab is aañkh ko maiñ band kiyā chāhtā huuñ
be-shumar aankhon ko chehre mein lagae hue istada hai tamir ka ek naqsh-e-ajib
ai tamaddun ke naqib!
teri surat hai muhib!
zehn-e-insani ka tufan khaDa hai goya
Dhal ke lahron mein kai git sunai mujhe dete hain magar
un mein ek josh hai bedad ka fariyaad ka ek aks-e-daraaz
aur alfaz mein afsane hain be-KHwabi ke
kya koi ruh-e-hazin
tere sine mein bhi betab hai tahzib ke raKHshanda nagin
ghuT ke lahren tere giton ki sunen mujh ko nazar aane laga
ek talKHaba kisi baada-e-bad-rang ka ek TuTe hue saghar mein
nashsha-e-mai se nazar dhundli hui jati hai
raat ki tera faza kyun mujhe ghabraati hai?
raat ki tera faza mein teri aankhon ki chamak mujh ko Dara sakti nahin hai main to
is se bhi baDh ke andhere mein raha karta tha
aur is tirgi-e-ruh mein daraKHshan the sitare dukh ke
aur kabhi bhul mein har najm-e-daraKHshan se lapak uThte the shoale sukh ke
jaise rauzan se tere tan lapakti hui phailati hai bazu apne
jazb kar leta hai phir us ko KHala ka daman
yaad aane lage tanhai mein bahte hue aansu apne
wahi aansu wahi shoale sukh ke
lekin ek KHwab tha ek KHwab ki manind lapak shaalon ki thi
meri taKHil ke par tair-e-zaKHmi ke paron ke manind
phaDphaDate hue bekar laraz uThte hain
mere aaza ka tanao mujhe jine hi na deta tha taDap kar ek bar
justuju mujh ko rihai ki hua karti thi
magar afsos ki jab dard dawa banne laga mujh se wo pabandi haTi
apne aasab ko aasuda banane ke liye
bhul kar tirgi-e-ruh ko main aa pahuncha
is bulandi ke qadam main ne liye
jis pe tu saikaDon aankhon ko jhapakte hue istada hai
tere bare mein suna rakkhi thin logon ne mujhe
kuchh hikayat-e-ajib
main ye sunta tha tere jism-e-giran-bar mein bistar hai bichha
aur ek naznin leTi hai wahan tanhai
ek phiki si thakan ban ke ghusi jati hai
zehn mein us ke magar wo betab
muntazir us ki hai parda larze
pairahan ek Dhalakta hua baadal ban jae
aur dar aae ek an-dekhi anokhi surat
kuchh gharaz us ko nahin hai is se
dil ko bhati hai nahin bhati hai
aane wale ki ada
us ka hai ek hi maqsud wo istada kare
bahr-e-asab ki tamir ka ek naqsh-e-ajib
jis ki surat se karahat aae
aur wo ban jae tera madd-e-muqabil pal mein
zehn-e-insani ka tufan khaDa ho jae
aur wo naznin be-saKHta be-lag irade ke baghair
ek girti hui diwar nazar aane lage
shab ke be-ruh tamashai ko
bhul kar apni thakan ka naghma
muKHtasar larzish-e-chashm-e-dar se
reg ke qasr ke manind subuksar kare
bahr-e-asab ki tamir ka ek naqsh-e-ajib
ek girti hui diwar ki manind lachak kha jae
ye hikayat mere zehn mein ek bu-e-KHiraman ban kar
jab kabhi chahti thin raqs kiya karti thin
aur ab dekhta hun saikaDon aankhon mein teri
ek hi chashm-e-daraKHshan mujhe aati hai nazar
kya isi chashm-e-daraKHshan mein hai shoala sukh ka?
hath se apne ab is aankh ko main band kiya chahta hun
- Book : meri behtareen nazam (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.