wada
vo va.ada aap kā
va.ada
na ab tak ho sakā puurā
zamīñ badlī zamāñ badlā
magar vo va.ada-e-fardā
abhī tak ik muamma hai
agarche ye haqīqat hai ki
rang-e-khusravī badlā
jahān-e-ḳhud-e-farāmoshī
ke bādal chhaT ga.e saare
shafaq phūTī kiran phūTī dhanak ubhrī
magar sūraj jo niklā sub.h-dam to
ḳhud apnī tīra-baḳhtī par
pashemāñ aur
magar vo va.ada-e-fardā
abhī tak ik muamma hai
ḳhabar ho aap ko shāyad ki
zulmat ke shikanje meñ
sadāqat
sub.h kī dahlīz par
ghuT ghuT ke
martī hai sahar ḳhvāb-e-pareshāñ hai
vo va.ada aap kā
va.ada
na jaane kab
hadīs-e-dil banegā aur
mīzān-e-sadāqat meñ
tulegā rū-ba-rū sab ke
wo wada aap ka
wada
na ab tak ho saka pura
zamin badli zaman badla
magar wo wada-e-farda
abhi tak ek muamma hai
agarche ye haqiqat hai ki
rang-e-khusrawi badla
jahan-e-KHud-e-faramoshi
ke baadal chhaT gae sare
shafaq phuTi kiran phuTi dhanak ubhri
magar suraj jo nikla subh-dam to
KHud apni tira-baKHti par
pasheman aur
magar wo wada-e-farda
abhi tak ek muamma hai
KHabar ho aap ko shayad ki
zulmat ke shikanje mein
sadaqat
subh ki dahliz par
ghuT ghuT ke
marti hai sahar KHwab-e-pareshan hai
wo wada aap ka
wada
na jaane kab
hadis-e-dil banega aur
mizan-e-sadaqat mein
tulega ru-ba-ru sab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.