wadi-e-pinhan
vaqt ke dariyā meñ uTThī thī abhī pahlī hī lahr
chand insānoñ ne lī ik vādi-e-pinhāñ kī raah
mil ga.ī un ko vahāñ
āġhosh-e-rāhat meñ panāh
kar liyā ta.amīr ik mausīqī o ishrat kā shahr
mashriq-o-maġhrib ke paar
zindagī aur maut kī farsūda shah-rāhoñ se duur
jis jagah se āsmāñ kā qāfila letā hai nuur
jis jagah har sub.h ko miltā hai īma-e-zuhūr
aur bune jaate haiñ rātoñ ke liye ḳhvāb ke jaal
sīkhtī hai jis jagah parvāz huur
aur farishtoñ ko jahāñ maltā hai āhañg-e-surūr
ġham-nasīb ahrīmanoñ ko girya-e-āh-o-fuġhāñ
kaash batlā de koī
mujh ko bhī is vādi-e-pinhāñ kī raah
mujh ko ab tak justujū hai
zindagī ke taaza jaulāñ-gāh kī
kaisī be-zārī sī hai
zindagī ke kohna āhañg-e-musalsal se mujhe
sar-zamīn-e-zīst kī afsurda mahfil se mujhe
dekh le ik baar kaash
us jahāñ kā manzar-e-rañgīñ nigāh
jis jagah hai qahqahoñ kā ik daraḳhshanda vafūr
jis jagah se āsmāñ kā qāfila letā hai nuur
jis kī rif.at dekh kar ḳhud himmat-e-yazdāñ hai chuur
jis jagah hai vaqt ik taaza surūr
jis jagah ahrīmanoñ kā bhī nahīñ kuchh iḳhtiyār
mashriq-o-maġhrib ke paar
waqt ke dariya mein uTThi thi abhi pahli hi lahr
chand insanon ne li ek wadi-e-pinhan ki rah
mil gai un ko wahan
aaghosh-e-rahat mein panah
kar liya tamir ek mausiqi o ishrat ka shahr
mashriq-o-maghrib ke par
zindagi aur maut ki farsuda shah-rahon se dur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis jagah har subh ko milta hai ima-e-zuhur
aur bune jate hain raaton ke liye KHwab ke jal
sikhti hai jis jagah parwaz hur
aur farishton ko jahan malta hai aahang-e-surur
gham-nasib ahrimanon ko girya-e-ah-o-fughan
kash batla de koi
mujh ko bhi is wadi-e-pinhan ki rah
mujh ko ab tak justuju hai
zindagi ke taza jaulan-gah ki
kaisi be-zari si hai
zindagi ke kohna aahang-e-musalsal se mujhe
sar-zamin-e-zist ki afsurda mahfil se mujhe
dekh le ek bar kash
us jahan ka manzar-e-rangin nigah
jis jagah hai qahqahon ka ek daraKHshanda wafur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis ki rifat dekh kar KHud himmat-e-yazdan hai chur
jis jagah hai waqt ek taza surur
jis jagah ahrimanon ka bhi nahin kuchh iKHtiyar
mashriq-o-maghrib ke par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.