wahima
raat jaagī to kahīñ sahn meñ sūkhe patte
charmurā.e ki koī aayā koī aayā hai
aur ham shauq ke maare hue dauḌe aa.e
go ki mālūm hai tū hai na tirā saaya hai
ham ki dekheñ kabhī dālān kabhī sūkhā chaman
us pe dhīmī sī tamanna ki pukāre jaa.eñ
phir se ik baar tirī ḳhvāb sī āñkheñ dekheñ
phir tire hijr ke hāthoñ hī bhale maare jaa.eñ
ham tujhe apnī sadāoñ meñ basāne vaale
itnā chīḳheñ ki tire vahm lipaT kar ro.eñ
par tire vahm bhī terī hī tarah qātil haiñ
so vahī dard hai jānāñ kaho kaise so.eñ
bas isī karb ke pahlū meñ guzāre haiñ pahar
bas yūñhī ġham kabhī kaafī kabhī thoḌe aa.e
phir achānak kisī lamhe meñ jo chaTḳhe patte
ham vahī shauq ke maare hue dauḌe aa.e
raat jagi to kahin sahn mein sukhe patte
charmurae ki koi aaya koi aaya hai
aur hum shauq ke mare hue dauDe aae
go ki malum hai tu hai na tera saya hai
hum ki dekhen kabhi dalan kabhi sukha chaman
us pe dhimi si tamanna ki pukare jaen
phir se ek bar teri KHwab si aankhen dekhen
phir tere hijr ke hathon hi bhale mare jaen
hum tujhe apni sadaon mein basane wale
itna chiKHen ki tere wahm lipaT kar roen
par tere wahm bhi teri hi tarah qatil hain
so wahi dard hai jaanan kaho kaise soen
bas isi karb ke pahlu mein guzare hain pahar
bas yunhi gham kabhi kafi kabhi thoDe aae
phir achanak kisi lamhe mein jo chaTKHe patte
hum wahi shauq ke mare hue dauDe aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.