wapsi
us ne kahā
sun
ahd nibhāne kī ḳhātir mat aanā
ahd nibhāne vaale aksar
majbūrī yā mahjūrī kī thakan se lauTā karte haiñ
tum jaao
aur dariyā dariyā pyaas bujhāo
jin āñkhoñ meñ Duubo
jis dil meñ utro
merī talab āvāz na degī
lekin jab merī chāhat
aur mirī ḳhvāhish kī lau
itnī tez aur itnī
ūñchī ho jaa.e
jab dil ro de
tab lauT aanā
us ne kaha
sun
ahd nibhane ki KHatir mat aana
ahd nibhane wale aksar
majburi ya mahjuri ki thakan se lauTa karte hain
tum jao
aur dariya dariya pyas bujhao
jin aankhon mein Dubo
jis dil mein utro
meri talab aawaz na degi
lekin jab meri chahat
aur meri KHwahish ki lau
itni tez aur itni
unchi ho jae
jab dil ro de
tab lauT aana
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 541)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.