wapsi ka safar
merī talāsh mujhe le chalī hai maazī meñ
tumhīñ batāo maiñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ
pighal pighal ke sadā imtihāñ kī ātish meñ
vajūd Dhal gayā merā ajiib sāñchoñ meñ
vo ik vajūd jo rishtoñ meñ kho gayā hai kahīñ
usī vajūd ko phir se kahāñ talāsh karūñ
tarāshnā hai nayā ik mujassama yā phir
maiñ apne gum-shuda hissoñ ko phir talāsh karūñ
tumhīñ batāo maiñ ḳhud ko kahāñ talāsh karūñ
savāl ye hai ki tum se hī kyoñ muḳhātib huuñ
chalo batā.ūñ tumheñ kam se kyoñ savāl kiyā
tumhīñ pe aa ke rukā thā mohabbatoñ kā safar
tumhīñ ho āḳhirī pahchān mere hone kī
to kyoñ na tum se shurūa ho ye vāpsī kā safar
tumhāre pyaar ke badle jo pyaar tum ko diyā
merī vafāoñ ne jo iḳhtiyār tum ko diyā
vo iḳhtiyār jo tum ne qafas meñ Dhaal diyā
usī qafas se rihā.ī hai ibtidā merī
tumhāre naam kiyā thā jo umr kā hissa
ye iltijā hai mirī aaj mujh ko lauTā do
baḌā kaThin hai merī jaañ ye vāpsī kā safar
rihā.ī de ke mujhe aaj mujh se milvā do
meri talash mujhe le chali hai mazi mein
tumhin batao main KHud ko kahan talash karun
pighal pighal ke sada imtihan ki aatish mein
wajud Dhal gaya mera ajib sanchon mein
wo ek wajud jo rishton mein kho gaya hai kahin
usi wajud ko phir se kahan talash karun
tarashna hai naya ek mujassama ya phir
main apne gum-shuda hisson ko phir talash karun
tumhin batao main KHud ko kahan talash karun
sawal ye hai ki tum se hi kyon muKHatib hun
chalo bataun tumhein kam se kyon sawal kiya
tumhin pe aa ke ruka tha mohabbaton ka safar
tumhin ho aaKHiri pahchan mere hone ki
to kyon na tum se shurua ho ye wapsi ka safar
tumhaare pyar ke badle jo pyar tum ko diya
meri wafaon ne jo iKHtiyar tum ko diya
wo iKHtiyar jo tum ne qafas mein Dhaal diya
usi qafas se rihai hai ibtida meri
tumhaare nam kiya tha jo umr ka hissa
ye iltija hai meri aaj mujh ko lauTa do
baDa kaThin hai meri jaan ye wapsi ka safar
rihai de ke mujhe aaj mujh se milwa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.