wapsi
nishāt-o-kaif ke
naġhme
ḳhalā meñ Duub ga.e
zamīñ kī aañkh lagī
āsmāñ huā bedār
guloñ kā ḳhuun huā
ḳhaar muskurāne lage
charāġh mahfil-e-hastī ke
TimTimāne lage
diloñ ko chiir ga.ī
ik udaas tārīkī
taḳhaiyyulāt ke sūraj
bujhe to raakh hue
nishat-o-kaif ke
naghme
KHala mein Dub gae
zamin ki aankh lagi
aasman hua bedar
gulon ka KHun hua
KHar muskurane lage
charagh mahfil-e-hasti ke
TimTimane lage
dilon ko chir gai
ek udas tariki
taKHaiyyulat ke suraj
bujhe to rakh hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.