yahāñ kyā hai barahana tīrgī hai
ḳhalā hai āhaTeñ haiñ tishnagī hai
yahāñ jis ke liye aa.e the vo shai
kisī qīmat pe bhī miltī nahīñ hai
jo apne saath ham laa.e the vo bhī
yahīñ kho jā.egā gar kī na jaldī
chalo jaldī chalo apne makāñ ke
kivāḌoñ kī jabīñ par sabt hogī
koī dastak abhī biite dinoñ kī
yahan kya hai barahana tirgi hai
KHala hai aahaTen hain tishnagi hai
yahan jis ke liye aae the wo shai
kisi qimat pe bhi milti nahin hai
jo apne sath hum lae the wo bhi
yahin kho jaega gar ki na jaldi
chalo jaldi chalo apne makan ke
kiwaDon ki jabin par sabt hogi
koi dastak abhi bite dinon ki
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 69)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.