waris
nubuvvat kā silsila ḳhatm ho chukā
ra.ūnat kā silsila jaarī hai
ab koī zamāna
kisī nabī kā zamāna nahīñ
har daur
ek fir.aun kā daur hai
jis ke qabze meñ
qārūn kā ḳhazāna hai
jis ne
ambiyā kī mīrās par qabza kar liyā hai
use pahchānñā mushkil nahīñ
us ke paas
tauhīn risālat kī talvār hai
jo us par īmān na laa.eñ
vo lāpatā ho jaate haiñ
jo īmān le aa.eñ
unheñ vo ḳhizr kī tarah talāsh kar letā hai
nuuh kī tarah
us kī kashtī meñ
har-nau kā jānvar hai
us ke mahal meñ
sulaimān kā taḳht bichhā hai
muḳhālifīn ke liye
us ke qaid-ḳhāne meñ
iisā kī suulī hai
farishtoñ kā lashkar use sajda kartā hai
kyūñki us kī baġhal meñ
muusā kā asā hai
nubuwwat ka silsila KHatm ho chuka
raunat ka silsila jari hai
ab koi zamana
kisi nabi ka zamana nahin
har daur
ek firaun ka daur hai
jis ke qabze mein
qarun ka KHazana hai
jis ne
ambiya ki miras par qabza kar liya hai
use pahchanna mushkil nahin
us ke pas
tauhin risalat ki talwar hai
jo us par iman na laen
wo lapata ho jate hain
jo iman le aaen
unhen wo KHizr ki tarah talash kar leta hai
nuh ki tarah
us ki kashti mein
har-nau ka jaanwar hai
us ke mahal mein
sulaiman ka taKHt bichha hai
muKHalifin ke liye
us ke qaid-KHane mein
isa ki suli hai
farishton ka lashkar use sajda karta hai
kyunki us ki baghal mein
musa ka asa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.