waba ke dinon mein 5
ye a.adād kī qaus kab sīdhī hogī
hameñ kyā ḳhabar bas
ḳhudā ko ḳhabar hai
naqāboñ kī qauseñ thiiñ zimme hamāre
jo chehroñ pe sīdhe kiye haiñ
kivāḌoñ kī qauseñ thiiñ zimme hamāre
jo khulte nahīñ haiñ
hamārī bhañvoñ kī kamāneñ
duā meñ uThe haath
sajdoñ ukūoñ kī qauseñ
akaḌne lagī haiñ
badan qaus the jo badalne lage haiñ
dahan qaus hote nahīñ haiñ
ḳhudā terī qaus-e-quzah kab khulegī
ye aadad ki qaus kab sidhi hogi
hamein kya KHabar bas
KHuda ko KHabar hai
naqabon ki qausen thin zimme hamare
jo chehron pe sidhe kiye hain
kiwaDon ki qausen thin zimme hamare
jo khulte nahin hain
hamari bhanwon ki kamanen
dua mein uThe hath
sajdon ukuon ki qausen
akaDne lagi hain
badan qaus the jo badalne lage hain
dahan qaus hote nahin hain
KHuda teri qaus-e-quzah kab khulegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.