waba ke dinon mein 6
Interesting Fact
(Changes in lives)
haath milāne kī rasm
tab ījād huī
jab hathiyār pheñknā
sīkhā jā chukā thā
aur baġhloñ meñ chhuriyāñ
aam hone lagī thiiñ
zindagiyoñ meñ badlāv aayā
jāpāniyoñ ne duur se jhuk kar salām kahnā sīkhā
dushman aur dost se munāsib fāsla
hamesha banā.e rakkhā
atomī tāqat se tabāh kiye ga.e
zindagiyoñ meñ badlāv aayā
ahal-e-fāras ne chūhe se
tā.ūn kā ta.alluq pahchānā
na.ash ko kaaT kar a.azā kā naqsha banāyā
pahlī jarrāhī kī
aur murdoñ kī be-hurmatī kī pādāsh meñ
bū-alī-sīnā ko sazā dī
zindagiyoñ meñ badlāv aayā
francisiyoñ ne chālīs din kā quarantine ījād kiyā
bandar-gāhoñ par bīmāriyoñ kā visa cancel huā
sehat-mand insānoñ ko visa milne lagā
zindagiyoñ meñ badlāv aayā
yahūd kī manDī meñ
sone ke sikke insānoñ se kam paḌ ga.e
kāġhaz kā note ījād huā
aur phir sab adyān kī
e'tibār kī āyāt ko
noToñ par likh diyā gayā
zindagiyoñ meñ badlāo aayā
agle na.e badlāo ke liye
stage tayyār karne meñ
vabā kī madad karo
hath milane ki rasm
tab ijad hui
jab hathiyar phenkna
sikha ja chuka tha
aur baghlon mein chhuriyan
aam hone lagi thin
zindagiyon mein badlaw aaya
japaniyon ne dur se jhuk kar salam kahna sikha
dushman aur dost se munasib fasla
hamesha banae rakkha
atomi taqat se tabah kiye gae
zindagiyon mein badlaw aaya
ahal-e-faras ne chuhe se
taun ka talluq pahchana
nash ko kaT kar aaza ka naqsha banaya
pahli jarrahi ki
aur murdon ki be-hurmati ki padash mein
bu-ali-sina ko saza di
zindagiyon mein badlaw aaya
francisiyon ne chaalis din ka quarantine ijad kiya
bandar-gahon par bimariyon ka wisa cancel hua
sehat-mand insanon ko wisa milne laga
zindagiyon mein badlaw aaya
yahud ki manDi mein
sone ke sikke insanon se kam paD gae
kaghaz ka note ijad hua
aur phir sab adyan ki
e'tibar ki aayat ko
noTon par likh diya gaya
zindagiyon mein badlao aaya
agle nae badlao ke liye
stage tayyar karne mein
waba ki madad karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.