wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
vafā aur ishq ke rishte baḌe ḳhush-rañg hote haiñ
adā.eñ dil-kushā in kī rasīle Dhañg hote haiñ
kisī mausam kisī rut meñ kisī bhī shāḳh par aksar
ye nannhī koñpleñ ban kar chaman ābād karte haiñ
sakūñ dete haiñ zehnoñ ko diloñ ko shaad karte haiñ
ḳhudā jaane ye parvāne ye mastāne ye dīvāne
muravvat kī mohabbat kī ibādat kī bulandī se
kise āvāz dete haiñ kise rah rah ke takte haiñ
ye nā-umīd ho kar bhī kabhī munkir nahīñ hote
ye kis kī justujū meñ past hote haiñ na thakte haiñ
ye rah rah kar duur bhī ik dūsre ke sañg hote haiñ
vafā aur ishq ke rishte baḌe ḳhush-rañg hote haiñ
wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
adaen dil-kusha in ki rasile Dhang hote hain
kisi mausam kisi rut mein kisi bhi shaKH par aksar
ye nannhi konplen ban kar chaman aabaad karte hain
sakun dete hain zehnon ko dilon ko shad karte hain
KHuda jaane ye parwane ye mastane ye diwane
murawwat ki mohabbat ki ibaadat ki bulandi se
kise aawaz dete hain kise rah rah ke takte hain
ye na-umid ho kar bhi kabhi munkir nahin hote
ye kis ki justuju mein past hote hain na thakte hain
ye rah rah kar dur bhi ek dusre ke sang hote hain
wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.