wafa kaisi?
aaj vo āḳhirī tasvīr jalā dī ham ne
jis se is shahr ke phūloñ kī mahak aatī thī
jis se be-nūr ḳhayāloñ pe chamak aatī thī
ka.aba-e-rahmat-e-asnām thā jo muddat se
aaj us qasr kī zanjīr hilā dī ham ne
aag, kāġhaz ke chamakte hue siine pe baḌhī
ḳhvāb kī lahr meñ bahte hue aa.e sāhil
muskurāte hue hoñToñ kā sulagtā huā karb
sarsarāte hue lamhoñ ke dhaḌakte hue dil
jagmagāte hue āvezāñ kī mub.ham fariyād
dasht-e-ġhurbat meñ kisī hajla-nashīñ kā mahmil
ek din ruuh kā har taar sadā detā thā
kaash ham bik ke bhī is jins-e-girāñ ko pā leñ
ḳhud bhī kho jaa.eñ par is ramz-e-nihāñ ko pā leñ
aql us huur ke chehre kī lakīroñ ko agar
aa miTātī thī to dil aur banā detā thā
aur ab yaad ke is āḳhirī paikar kā tilism
qisa-e-rafta banā ziist kī mātoñ se huā
duur ik khet pe bādal kā zarā sā TukḌā
dhuup kā Dher huā dhuup ke hātoñ se huā
us kā pyaar us kā badan us kā mahaktā huā ruup
aag kī nazr huā aur inhī bātoñ se huā
aaj wo aaKHiri taswir jala di hum ne
jis se is shahr ke phulon ki mahak aati thi
jis se be-nur KHayalon pe chamak aati thi
kaba-e-rahmat-e-asnam tha jo muddat se
aaj us qasr ki zanjir hila di hum ne
aag, kaghaz ke chamakte hue sine pe baDhi
KHwab ki lahr mein bahte hue aae sahil
muskuraate hue honTon ka sulagta hua karb
sarsaraate hue lamhon ke dhaDakte hue dil
jagmagate hue aawezan ki mubham fariyaad
dasht-e-ghurbat mein kisi hajla-nashin ka mahmil
ek din ruh ka har tar sada deta tha
kash hum bik ke bhi is jins-e-giran ko pa len
KHud bhi kho jaen par is ramz-e-nihan ko pa len
aql us hur ke chehre ki lakiron ko agar
aa miTati thi to dil aur bana deta tha
aur ab yaad ke is aaKHiri paikar ka tilism
qisa-e-rafta bana zist ki maton se hua
dur ek khet pe baadal ka zara sa TukDa
dhup ka Dher hua dhup ke haton se hua
us ka pyar us ka badan us ka mahakta hua rup
aag ki nazr hua aur inhi baaton se hua
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Mouj meri sadaf sadaf (Pg. 42)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.