wahi kashf-e-zat ki aarzu
mirā dil giro mirī jaañ giro
chalā aa ki hai mirā dar khulā
tū mirā nasīb hai rāh-rau
ye havā ye barq ye ra.ad-o-abr ye tīrgī
rah-e-intizār kī nārasī
mire jān-o-dil pe haiñ lau buto
mire mehmāñ mire rāh-rau
ai gurez-pā tū sarāb-e-dasht ḳhalā na ban
vo navā na ban jo fareb-e-rāh-guzār ho
vo fusūn-e-arz-o-samā na ban
jise dil-giraftoñ se aar ho
jo tujhe bulātī hai pai-ba-pai
vo sadā jilājal-e-jāñ kī hai
vo sadā murūr-e-zamāñ kī hai
kise us sadā se farār ho
mirā dil giro mirī jaañ giro
tirī kun-ma-kun tirī rau-ma-rau
mujhe bār-e-jāñ
ki maiñ harf jis kā bayāñ hai tū
maiñ vo jism jis kī ravāñ hai tū
tū kalām hai maiñ tirī zabāñ
tū vo sham.a hai ki maiñ jis kī lau
kisī naqsh-e-kār kā ik nafas
ka.ī sūrateñ jo sadā se tishna-e-rañg thiiñ
huiiñ vasl-e-ma.anī se bārvar
kisī but-tarāsh kī ik nigah
ka.ī sañg-e-aziyat-e-yās-o-marg
se bach ga.e
hue samt-e-rāh se bā-ḳhabar
chalā aa ki merī nidā meñ bhī
vahī rūyat-e-azalī ki hai
jise yaad ġhāyat-e-rañg-o-bū
jise yaad rāz-e-mai-o-subū
jise yaad vāda-e-tār-o-pū
chalā aa ki merī nidā meñ bhī
isī kashf-e-zāt kī aarzū
mera dil giro meri jaan giro
chala aa ki hai mera dar khula
tu mera nasib hai rah-rau
ye hawa ye barq ye rad-o-abr ye tirgi
rah-e-intizar ki narasi
mere jaan-o-dil pe hain lau buto
mere mehman mere rah-rau
ai gurez-pa tu sarab-e-dasht KHala na ban
wo nawa na ban jo fareb-e-rah-guzar ho
wo fusun-e-arz-o-sama na ban
jise dil-girafton se aar ho
jo tujhe bulati hai pai-ba-pai
wo sada jilajal-e-jaan ki hai
wo sada murur-e-zaman ki hai
kise us sada se farar ho
mera dil giro meri jaan giro
teri kun-ma-kun teri rau-ma-rau
mujhe bar-e-jaan
ki main harf jis ka bayan hai tu
main wo jism jis ki rawan hai tu
tu kalam hai main teri zaban
tu wo shama hai ki main jis ki lau
kisi naqsh-e-kar ka ek nafas
kai suraten jo sada se tishna-e-rang thin
huin wasl-e-mani se barwar
kisi but-tarash ki ek nigah
kai sang-e-aziyat-e-yas-o-marg
se bach gae
hue samt-e-rah se ba-KHabar
chala aa ki meri nida mein bhi
wahi ruyat-e-azali ki hai
jise yaad ghayat-e-rang-o-bu
jise yaad raaz-e-mai-o-subu
jise yaad wada-e-tar-o-pu
chala aa ki meri nida mein bhi
isi kashf-e-zat ki aarzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.