Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi laDki

Khatir Ghaznavi

wahi laDki

Khatir Ghaznavi

MORE BYKhatir Ghaznavi

    bhūrī āñkhoñ vaalī laḌkī

    tujh se pahle mere paas bhī aatī thī

    apne ghar ik ik baat sunātī thī

    mehñdī aur vismay se aarī kaale bāloñ vaalī ammī

    jalte charāġhoñ jaise āñkhoñ vaalī bahnoñ

    un ke sañgtaroñ phāñkoñ jaise hoñToñ

    duudh ke pyāloñ jaise ujle gāloñ

    raushan jismoñ

    sarv-qadoñ ke qisse sunāyā kartī thī

    mere ghar meñ vo ḳhurshīd sūrat roz ubhartī thī

    mujh se merī nazmeñ giit aur ġhazleñ suntī rahtī thī

    sweater buntī rahtī thī

    akasr merī ġhazleñ kar mujhe sunāyā kartī thī

    chhāyā rasiyā thī vo aur chhāyā rachāyā kartī thī

    Tuk Tuk dekhā kartī thī

    ThanDī aa.heñ bhartī thī

    aisā zāhir kartī thī

    jaise mujh par martī thī

    lāñbī palkoñ vaalī laḌkī

    mujh se pahle ek sitār-navāz ke paas bhī jaatī thī

    us ke rasīle naġhmoñ par nāgan tarah lahrātī thī

    us tānoñ aur palToñ par dhuāñ dhuāñ ho jaatī thī

    meñDh jidhar le jaatī thī us samt ravāñ ho jaatī thī

    giit ke lai baḌhte tund bagūla ban jaatī thī

    takte takte goyā ek hayūlā ban jaatī thī

    sampar dāyāñ paañv zamīñ par maar ke vo ruk jaatī thī

    ruk kar yuuñ lahrā kar girtī

    jaise koī kāñch pyāla

    haath se chhūTe

    chhan se TuuTe

    gir kar uThtī

    uTh kar yuuñ jhuk jaatī thī

    jaise koī ban-bāsī devī

    karmoñ phal bhog chukī ho

    devtā ke charnoñ meñ jhukī ho

    mastī meñ Dag bharne vaalī

    sambhal sambhal pag bhartī thī

    ThanDī aa.heñ bhartī thī

    aisā zāhir kartī thī

    jaise us par martī thī

    takte takte vo ek hayūlā ban jaatī thī

    us ke rasīle naġhmoñ par nāgin tarah lahrātī thī

    lambī choTī vaalī laḌkī sab ko dhokā detī hai

    mausīqī rasiyā mausīqāroñ ko Das letī hai

    bhuri aankhon wali laDki

    tujh se pahle mere pas bhi aati thi

    apne ghar ki ek ek baat sunati thi

    mehndi aur wismay se aari kale baalon wali ammi

    jalte charaghon jaise aankhon wali bahnon

    un ke sangtaron ki phankon jaise honTon

    dudh ke pyalon jaise ujle galon

    raushan jismon

    sarw-qadon ke qisse sunaya karti thi

    mere ghar mein wo KHurshid ki surat roz ubharti thi

    mujh se meri nazmen git aur ghazlen sunti rahti thi

    sweater bunti rahti thi

    akasr meri ghazlen ga kar mujhe sunaya karti thi

    chhaya ki rasiya thi wo aur chhaya rachaya karti thi

    Tuk Tuk dekha karti thi

    ThanDi aahen bharti thi

    aisa zahir karti thi

    jaise mujh par marti thi

    lanbi palkon wali laDki

    mujh se pahle ek sitar-nawaz ke pas bhi jati thi

    us ke rasile naghmon par nagan ki tarah lahraati thi

    us ki tanon aur palTon par dhuan dhuan ho jati thi

    meinDh jidhar le jati thi us samt rawan ho jati thi

    git ke lai baDhte hi tund bagula ban jati thi

    takte takte goya ek hayula sa ban jati thi

    sampar dayan panw zamin par mar ke wo ruk jati thi

    ruk kar yun lahra kar girti

    jaise koi kanch ka pyala

    hath se chhuTe

    chhan se TuTe

    gir kar uThti

    uTh kar yun jhuk jati thi

    jaise koi ban-basi dewi

    karmon ka phal bhog chuki ho

    dewta ke charnon mein jhuki ho

    masti mein Dag bharne wali

    sambhal sambhal pag bharti thi

    ThanDi aahen bharti thi

    aisa zahir karti thi

    jaise us par marti thi

    takte hi takte wo ek hayula sa ban jati thi

    us ke rasile naghmon par nagin ki tarah lahraati thi

    lambi choTi wali laDki sab ko dhoka deti hai

    mausiqi ki rasiya mausiqaron ko Das leti hai

    Source :
    • Book : shaahraah(12) (Pg. 75)
    • Edition : 1950
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now