wahi main hun wahi meri kahani hai
vahī qissa mire dil kā
dil-e-vahshat-zada par bādaloñ kī tarah us umḌe hue be-nām mausam kā
ki jo be-nām to thā hī ka.ī barsoñ se be-ma.anī bhī ho kar rah gayā hai
aur ye maiñ ne is liye likkhā hai
kyuuñ ki maiñ ne is ke ma.anī
be-had ma.azarat ke saath
ab tak
computer ke zamāne ke kisī zarḳhez-tar dil ke luġhat meñ bhī nahīñ dekhe
mire jazboñ ke shāḳh-o-barg par
be-shirkat-e-ġhair yahī mausam hai jis kī hukmarānī hai
vahī maiñ huuñ vahī chāroñ taraf raqsāñ mirī afsurda shab hai
aur vahī merī thakī haarī huī jaagī huī roī huī āñkhoñ kā
sannāTe ke rañgoñ jaisā āñgan hai
vahī ḳhvāb-e-talab hai
aur vahī dard-e-shikasta-pā jo shāyad ġhair-rasmī par
us dil ke ab tak zinda rah jaane kā tan-e-tanhā sabab hai
aur vahī kirdār-e-be-jā jo merī taqdīr se mansūb ho kar
is musallat-karda yak-tarfa kahānī ke kisī andhe kueñ meñ
nichlī zātoñ ke svembar jiit jaane vaale bad-qismat jarī kī tarah
kab se jāñ-ba-lab hai
haañ vahī is kī kahānī hai
jo aadam aur havvā kī nadāmat ke zamāne se bhī kuchh arsa purānī hai
kahānī kā safar jaarī hai
ye bhī itifāqan kā ek fitrī ek tadrījī amal hai
jo asātīrī khilaunoñ ko
kisī tārīḳh kī tadvīn tak
zīna-ba-zīna lā ke
un ko masḳh kar detā hai un meñ un kā apnā bholā-pan rahne nahīñ detā
aur is par ye ki us kā jabr
is baare meñ raavī ko
kisī bhī shaḳhs se
ik lafz bhī kahne nahīñ detā
kahānī meñ mirā kirdār hī maiñ huuñ
vahī maiñ huuñ vahī merī kahānī hai
wahi qissa mere dil ka
dil-e-wahshat-zada par baadalon ki tarah us umDe hue be-nam mausam ka
ki jo be-nam to tha hi kai barson se be-mani bhi ho kar rah gaya hai
aur ye main ne is liye likkha hai
kyun ki main ne is ke mani
be-had mazarat ke sath
ab tak
computer ke zamane ke kisi zarKHez-tar dil ke lughat mein bhi nahin dekhe
mere jazbon ke shaKH-o-barg par
be-shirkat-e-ghair yahi mausam hai jis ki hukmarani hai
wahi main hun wahi chaaron taraf raqsan meri afsurda shab hai
aur wahi meri thaki haari hui jagi hui roi hui aankhon ka
sannaTe ke rangon jaisa aangan hai
wahi KHwab-e-talab hai
aur wahi dard-e-shikasta-pa jo shayad ghair-rasmi par
us dil ke ab tak zinda rah jaane ka tan-e-tanha sabab hai
aur wahi kirdar-e-be-ja jo meri taqdir se mansub ho kar
is musallat-karda yak-tarfa kahani ke kisi andhe kuen mein
nichli zaton ke swembar jit jaane wale bad-qismat jari ki tarah
kab se jaan-ba-lab hai
han wahi is ki kahani hai
jo aadam aur hawwa ki nadamat ke zamane se bhi kuchh arsa purani hai
kahani ka safar jari hai
ye bhi itifaqan ka ek fitri ek tadriji amal hai
jo asatiri khilaunon ko
kisi tariKH ki tadwin tak
zina-ba-zina la ke
un ko masKH kar deta hai un mein un ka apna bhola-pan rahne nahin deta
aur is par ye ki us ka jabr
is bare mein rawi ko
kisi bhi shaKHs se
ek lafz bhi kahne nahin deta
kahani mein mera kirdar hi main hun
wahi main hun wahi meri kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.