wahi to lamha tha faisle ka
rafāqatoñ ke tavīl raste
pe chalte chalte
bahut hī uktā gayā thā jānāñ
to ye bhī achchhā huā
ki ik din vo moḌ aayā
ki jis kī pagDañDiyāñ judā thiiñ
bas ik ishāra thī vo hī saa.at
vahī to lamha thā faisle kā
vo haath ab ham ko chhoḌnā the
ki jin ko thāme bahut dinoñ se
rafāqatoñ ke safar meñ
donoñ hī ham-qadam the
to phir vo lamha bhī aa gayā jab
baġhair tamhīd-e-hijr koī
bichhaḌ ga.e ham
alag dishāoñ kā qasd bāñdhe
rafaqaton ke tawil raste
pe chalte chalte
bahut hi ukta gaya tha jaanan
to ye bhi achchha hua
ki ek din wo moD aaya
ki jis ki pagDanDiyan juda thin
bas ek ishaara thi wo hi saat
wahi to lamha tha faisle ka
wo hath ab hum ko chhoDna the
ki jin ko thame bahut dinon se
rafaqaton ke safar mein
donon hi ham-qadam the
to phir wo lamha bhi aa gaya jab
baghair tamhid-e-hijr koi
bichhaD gae hum
alag dishaon ka qasd bandhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.