wahshat
mujhe vahshat kā matlab kab pata thā aaj se pahle
kabhī aisā huā ye dil zarā ghabrā gayā
to kah diyā ki dil bahut vahshat-zada hai
aur aisā bhī huā
gar saḳht lahje meñ kisī ne baat kī
yā baat rad kar dī
na koī kaam ho yā na niiñd aa.ī
to phir bhī kah diyā vahshat bahut hai
mujhe ye lafz achchhā hī bahut lagtā thā
par aise nahīñ dekho
ki maiñ ne us kā matlab aaj samjhā hai
maiñ gum-sum to nahīñ chup huuñ
mirī saarī tavajjoh mere hāthoñ par lagī hai
mere nāḳhun yuuñ hathelī meñ khube haiñ
dil ye kahtā hai
ki merī uñgliyāñ is jild ke nīche dabe
ik iztirābī se ḳhalā ko pur kareñ
yā phaaḌ Dāleñ ab
ka.ī lahreñ sī bechainī se yuuñ karvaT badaltī haiñ
mirā dil chāhtā hai ye
ki maiñ khīñch kar
ajab vahshat ke maqnātīs se juḌ kar
ḳhud apne kāñpte hāthoñ kī poroñ se nikal jā.ūñ
magar maiñ apne siine se ubhar kar
aa aTaktī huuñ halq meñ
ḳhushk hai jo pyaas se
un āñsuoñ se
jo nahīñ bante
yahāñ maiñ kahāñ jā.ūñ
na aage aa sakūñ maiñ aur na vāpas jā sakūñ maiñ ab
maiñ jaise band huuñ shīshe ke Dabbe meñ
maiñ apne ḳhvāb se apne halq se
jis qadar koshish karūñ
bāhar nikalne kī ubharne kī
to merā saañs ruktā hai
koī āvāz aatī hai
kahīñ andar hī lekin Duub jaatī hai
mujhe sab kahīñ par bhī nahīñ hotī
kisī ko maiñ nazar aatī huuñ par shāyad
use bhī apne andar se nikalne kā koī rasta nahīñ miltā
mujhe wahshat ka matlab kab pata tha aaj se pahle
kabhi aisa hua ye dil zara ghabra gaya
to kah diya ki dil bahut wahshat-zada hai
aur aisa bhi hua
gar saKHt lahje mein kisi ne baat ki
ya baat rad kar di
na koi kaam ho ya na nind aai
to phir bhi kah diya wahshat bahut hai
mujhe ye lafz achchha hi bahut lagta tha
par aise nahin dekho
ki main ne us ka matlab aaj samjha hai
main gum-sum to nahin chup hun
meri sari tawajjoh mere hathon par lagi hai
mere naKHun yun hatheli mein khube hain
dil ye kahta hai
ki meri ungliyan is jild ke niche dabe
ek iztirabi se KHala ko pur karen
ya phaD Dalen ab
kai lahren si bechaini se yun karwaT badalti hain
mera dil chahta hai ye
ki main khinch kar
ajab wahshat ke maqnatis se juD kar
KHud apne kanpte hathon ki poron se nikal jaun
magar main apne sine se ubhar kar
aa aTakti hun halq mein
KHushk hai jo pyas se
un aansuon se
jo nahin bante
yahan main kahan jaun
na aage aa sakun main aur na wapas ja sakun main ab
main jaise band hun shishe ke Dabbe mein
main apne KHwab se apne halq se
jis qadar koshish karun
bahar nikalne ki ubharne ki
to mera sans rukta hai
koi aawaz aati hai
kahin andar hi lekin Dub jati hai
mujhe sab kahin par bhi nahin hoti
kisi ko main nazar aati hun par shayad
use bhi apne andar se nikalne ka koi rasta nahin milta
- Sadiyon Jaise Pal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.