wajud-e-zan
lafz haiñ āñkhoñ meñ yā tahrīr hai
paañv meñ pāzeb yā zanjīr hai
zindagī us kī fasāna ho ga.ī
chaltī-phirtī jabr kī ta.azīr hai
koī aahaT toḌ de zulmat kā ḳhvāb
DhūñDhtī vo raah meñ ta.abīr hai
jab sahīfoñ ne use chāhat likhā
nafratoñ kī kyoñ banī tasvīr hai
aap hī apne muqābil ho ga.ī
tū bhī aurat zaat meñ gambhīr hai
lafz hain aankhon mein ya tahrir hai
panw mein pazeb ya zanjir hai
zindagi us ki fasana ho gai
chalti-phirti jabr ki tazir hai
koi aahaT toD de zulmat ka KHwab
DhunDhti wo rah mein tabir hai
jab sahifon ne use chahat likha
nafraton ki kyon bani taswir hai
aap hi apne muqabil ho gai
tu bhi aurat zat mein gambhir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.