wajud karb se aage
maiñ jauhar par muqaddam huuñ
mire paaoñ kī beḌī ye zamāna ban nahīñ saktā
na hī mahdūd huuñ aur nā-gahānī bhī nahīñ huuñ maiñ
muqaddar thā mirā maazī
magar maiñ haal, mustaqbil kā saudā sar meñ rakhtī huuñ
maiñ hī to markazī kirdār huuñ apnī kahānī kā
asāsī kuchh nahīñ hai
mantiqī nā jauharī kuchh hai
maiñ ḳhud meñ Duub kar tashkīl-e-nau kartī huuñ ḳhud apnī
meñ ḳhud taḳhlīq kartī huuñ
makāñ ke ma.anī-o-mafhūm
sachchā.ī mujh se phūTī hai
maiñ sachchī huuñ magar duniyā ye jhūTī hai
main jauhar par muqaddam hun
mere paon ki beDi ye zamana ban nahin sakta
na hi mahdud hun aur na-gahani bhi nahin hun main
muqaddar tha mera mazi
magar main haal, mustaqbil ka sauda sar mein rakhti hun
main hi to markazi kirdar hun apni kahani ka
asasi kuchh nahin hai
mantiqi na jauhari kuchh hai
main KHud mein Dub kar tashkil-e-nau karti hun KHud apni
mein KHud taKHliq karti hun
makan ke mani-o-mafhum
sachchai mujh se phuTi hai
main sachchi hun magar duniya ye jhuTi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.