walasr
na sub.heñ na shāmeñ
hamāre andar bas ek hī vaqt aa Thahrā
sab lamhe yakjā ho kar asr kā vaqt oḌhe
hamārī uñglī pakaḌ ke
hameñ ḳhasāroñ ke jañgal meñ le aa.e
jahāñ har nayā mausam
ḳhasāroñ kī ik na.ī fasl bo ke
jab ruḳhsat hotā hai
to ham asr ke vaqt se be-niyāz
chup-chāp us fasl ko kaaT lete haiñ
aur jā-ba-jā Dher lagāte hue
phir se ik na.ī fasl bone lagte haiñ
na subhen na shamen
hamare andar bas ek hi waqt aa Thahra
sab lamhe yakja ho kar asr ka waqt oDhe
hamari ungli pakaD ke
hamein KHasaron ke jangal mein le aae
jahan har naya mausam
KHasaron ki ek nai fasl bo ke
jab ruKHsat hota hai
to hum asr ke waqt se be-niyaz
chup-chap us fasl ko kaT lete hain
aur ja-ba-ja Dher lagate hue
phir se ek nai fasl bone lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.