ramz
tum jab aaogī to khoyā huā pāogī mujhe
merī tanhā.ī meñ ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
mere kamre ko sajāne kī tamannā hai tumheñ
mere kamre meñ kitāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
in kitāboñ ne baḌā zulm kiyā hai mujh par
in meñ ik ramz hai jis ramz kā maarā huā zehn
muzhda-e-ishrat-e-anjām nahīñ pā saktā
zindagī meñ kabhī ārām nahīñ pā saktā
tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe
meri tanhai mein KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin
mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
mere kamre mein kitabon ke siwa kuchh bhi nahin
in kitabon ne baDa zulm kiya hai mujh par
in mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehn
muzhda-e-ishrat-e-anjam nahin pa sakta
zindagi mein kabhi aaram nahin pa sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.