tere KHushbu mein base KHat
pyaar kī āḳhirī pūñjī bhī luTā aayā huuñ
apnī hastī ko bhī lagtā hai miTā aayā huuñ
umr-bhar kī jo kamā.ī thī gañvā aayā huuñ
tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ
aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ
tū ne likhkhā thā jalā duuñ maiñ tirī tahrīreñ
tū ne chāhā thā jalā duuñ maiñ tirī tasvīreñ
soch liiñ maiñ ne magar aur hī kuchh tadbīreñ
tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ
aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ
tere ḳhushbū meñ base ḳhat maiñ jalātā kaise
pyaar meñ Duube hue ḳhat maiñ jalātā kaise
tere hāthoñ ke likhe ḳhat maiñ jalātā kaise
tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ
aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ
jin ko duniyā kī nigāhoñ se chhupā.e rakkhā
jin ko ik umr kaleje se lagā.e rakkhā
diin jin ko jinheñ īmān banā.e rakkhā
jin kā har lafz mujhe yaad hai paanī kī tarah
yaad the mujh ko jo paiġhām-e-zabānī kī tarah
mujh ko pyāre the jo anmol nishānī kī tarah
tū ne duniyā kī nigāhoñ se jo bach kar likkhe
sāl-hā-sāl mire naam barābar likkhe
kabhī din meñ to kabhī raat ko uTh kar likkhe
tere rūmāl tire ḳhat tire chhalle bhī ga.e
terī tasvīreñ tire shoḳh lifāfe bhī ga.e
ek yug ḳhatm huā yug ke fasāne bhī ga.e
tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ
aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ
kitnā bechain unheñ lene ko gañgā-jal thā
jo bhī dhārā thā unhīñ ke liye vo bekal thā
pyaar apnā bhī to gañgā kī tarah nirmal thā
tere ḳhat aaj meñ gañgā meñ bahā aayā huuñ
aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ
pyar ki aaKHiri punji bhi luTa aaya hun
apni hasti ko bhi lagta hai miTa aaya hun
umr-bhar ki jo kamai thi ganwa aaya hun
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
tu ne likhkha tha jala dun main teri tahriren
tu ne chaha tha jala dun main teri taswiren
soch lin main ne magar aur hi kuchh tadbiren
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
tere KHushbu mein base KHat main jalata kaise
pyar mein Dube hue KHat main jalata kaise
tere hathon ke likhe KHat main jalata kaise
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
jin ko duniya ki nigahon se chhupae rakkha
jin ko ek umr kaleje se lagae rakkha
din jin ko jinhen iman banae rakkha
jin ka har lafz mujhe yaad hai pani ki tarah
yaad the mujh ko jo paigham-e-zabani ki tarah
mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah
tu ne duniya ki nigahon se jo bach kar likkhe
sal-ha-sal mere nam barabar likkhe
kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likkhe
tere rumal tere KHat tere chhalle bhi gae
teri taswiren tere shoKH lifafe bhi gae
ek yug KHatm hua yug ke fasane bhi gae
tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
kitna bechain unhen lene ko ganga-jal tha
jo bhi dhaara tha unhin ke liye wo bekal tha
pyar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha
tere KHat aaj mein ganga mein baha aaya hun
aag bahte hue pani mein laga aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.