walentine-day
aao aaj
dhuup meñ khaḌe ho kar
daraḳhtoñ ko duā.eñ deñ
jin ke paas hamāre hisse kī thakan hai
aao aaj
ḳhushk dariyā meñ khaḌe ho kar
paanī ko āvāz deñ
aao aaj
phūloñ kā rañg oḌh kar
āvārgī kareñ
aur takte raheñ āsmān ko
jahāñ har shaam ik na.ī painting sajī hotī hai
aao aaj
parindoñ ko āsmān
aur mahbūbāoñ ko pesh kareñ
surḳh fiite se bañdhe dil
aao aaj
dhup mein khaDe ho kar
daraKHton ko duaen den
jin ke pas hamare hisse ki thakan hai
aao aaj
KHushk dariya mein khaDe ho kar
pani ko aawaz den
aao aaj
phulon ka rang oDh kar
aawargi karen
aur takte rahen aasman ko
jahan har sham ek nai painting saji hoti hai
aao aaj
parindon ko aasman
aur mahbubaon ko pesh karen
surKH fite se bandhe dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.