maiñ uḌte hue panchhiyoñ ko Darātā huā
kuchaltā huaa, ghaas kī kalġhiyāñ
girātā huā gardaneñ in daraḳhtoñ kii, chhuptā huā
jin ke pīchhe se
niklā chalā jā rahā thā vo sūraj
ta.āqub meñ thā us ke maiñ!
giraftār karne gayā thā use
jo le ke mirī umr kā ek din bhāgtā jā rahā thaa!
main uDte hue panchhiyon ko Daraata hua
kuchalta hua, ghas ki kalghiyan
giraata hua gardanen in daraKHton ki, chhupta hua
jin ke pichhe se
nikla chala ja raha tha wo suraj
taaqub mein tha us ke main!
giraftar karne gaya tha use
jo le ke meri umr ka ek din bhagta ja raha tha!
- Book : Yaar Julahe (Pg. 49)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.