vaqt kī aañkh pe paTTī bāñdh ke khel rahe the āñkh-micholī
raat aur din aur chāñd aur maiñ
jaane kaise kā.enāt meñ aTkā paañv
duur girā jā kar maiñ jaise
raushnī se dhakkā khā ke, parchhā.īñ zamīñ par girtī hai!
dhayyā chhūne se pahle hī
vaqt ne chor kahā aur āñkheñ khol ke mujh ko pakaḌ liyā!!
waqt ki aankh pe paTTi bandh ke khel rahe the aankh-micholi
raat aur din aur chand aur main
jaane kaise kaenat mein aTka panw
dur gira ja kar main jaise
raushni se dhakka kha ke, parchhain zamin par girti hai!
dhayya chhune se pahle hi
waqt ne chor kaha aur aankhen khol ke mujh ko pakaD liya!!
- Book : Yaar Julahe (Pg. 102)
- Author : Gulzar
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.