waqt aur hum
shāh-e-vaqt kā apnā
koī chehra nahīñ hotā
ham ḳhādimoñ ne hī
us ke chehre ko is qadar
sañvār diyā hai
ki aa.ine ke sāmne
ghanToñ khaḌe rah kar vo ḳhud-bīnī kar sake
chehre ke bhītar dekho
ā.īna dar ā.īna chehra
vaqt ke paar dosto
ham ḳhud hī chehre haiñ
aur apne ā.īne bhī ḳhud haiñ
ham sab ke chehroñ meñ hī vaqt kā be-rahm chehra chhupā hai
hamārī sūratoñ se mil kar hī us kī sūrat bantī hai
ham faqīroñ ke paas
kuchh aur ho na ho kam-az-kam
ā.īna udhār kā nahīñ hai
kyoñ ki samay ko ham ne ḳhud gaḌhā hai apne hāthoñ
ham re.āyā ko ḳhud bulandī ke ā.īne se
āñkheñ churāne kī zarūrat nahīñ hai
shah-e-waqt ka apna
koi chehra nahin hota
hum KHadimon ne hi
us ke chehre ko is qadar
sanwar diya hai
ki aaine ke samne
ghanTon khaDe rah kar wo KHud-bini kar sake
chehre ke bhitar dekho
aaina dar aaina chehra
waqt ke par dosto
hum KHud hi chehre hain
aur apne aaine bhi KHud hain
hum sab ke chehron mein hi waqt ka be-rahm chehra chhupa hai
hamari suraton se mil kar hi us ki surat banti hai
hum faqiron ke pas
kuchh aur ho na ho kam-az-kam
aaina udhaar ka nahin hai
kyon ki samay ko hum ne KHud gaDha hai apne hathon
hum reaya ko KHud bulandi ke aaine se
aankhen churane ki zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.