waqt guzarta nahin
vaqt koī shaam nahīñ
jise vahshat se Dhāñpā jā sake
na koī giit, jis kī lai
hamāre hoñToñ kī giraft meñ ho
ye ek lā-matanāhī lā-ta.alluq hai
vaqt Thahrā rahtā hai
un zamīnoñ par
jahāñ se na.e qāfile nikal paḌte haiñ
vaqt-guzārī ke kaThin safar par
guzishta bahut pīchhe rah gayā
jahāñ tak koī saḌak nahīñ jaatī
gaaḌī kī khaT-khaT se
shahr kī vīrānī kahāñ kam hotī hai
muqaffal gharoñ
aur qahva-ḳhānoñ kī bhunbhunāhat meñ
saarī bāteñ to log karte haiñ!
kitāboñ kī jildeñ, kāġhazoñ kā shor
mobile ke paiġhāmāt
aur vaqt guzar jaatā hai
hālāñki nahīñ guzartā
bachchoñ ko sīḌhiyāñ chaḌhā chukne ke ba.ad
dahlīz par baiTh kar
kisī be-samt ufuq ko ghūrte hue?
hisāb karte hue
un ḳhvāboñ kaa, jo dekhe
waqt koi sham nahin
jise wahshat se Dhanpa ja sake
na koi git, jis ki lai
hamare honTon ki giraft mein ho
ye ek la-matanahi la-talluq hai
waqt Thahra rahta hai
un zaminon par
jahan se nae qafile nikal paDte hain
waqt-guzari ke kaThin safar par
guzishta bahut pichhe rah gaya
jahan tak koi saDak nahin jati
gaDi ki khaT-khaT se
shahr ki virani kahan kam hoti hai
muqaffal gharon
aur qahwa-KHanon ki bhunbhunahat mein
sari baaten to log karte hain!
kitabon ki jilden, kaghazon ka shor
mobile ke paighamat
aur waqt guzar jata hai
haalanki nahin guzarta
bachchon ko siDhiyan chaDha chukne ke baad
dahliz par baiTh kar
kisi be-samt ufuq ko ghurte hue?
hisab karte hue
un KHwabon ka, jo dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.