waqt
hai sāl-e-nau kī aamad har shaḳhs kī ḳhushī hai
kyā rañg lā.egā ye is kī nahīñ ḳhabar kuchh
maiñ jāntā huuñ zālim terī ye dil-lagī hai
dil meñ nahīñ kisī ke jo maut kā ḳhatar kuchh
ai vaqt-e-be-muravvat ai vaqt-e-be-muravvat
aalam kā lahza lahza meñ haal kyā se kyā hai
muflis abhī thā koī masnad-nashīñ abhī hai
jiitā koī abhī thā ab dafn ho rahā hai
zālim kabhī rifāqat tū ne kisī kī kī hai
ai vaqt-e-be-muravvat ai vaqt-e-be-muravvat
kahnā kisī ghaḌī ko apnā ġhalat sarāsar
aalam jise haiñ kahte taġh.īr kā hai maskan
tujh ko agar maiñ samjhūñ Thahrā ġhalat sarāsar
zālim lagā huā hai tujh meñ balā kā engine
ai vaqt-e-be-muravvat ai vaqt-e-be-muravvat
the ḳhār-zār jis jā hai bulbuloñ kā maskan
allāh kis ġhazab ke har aan haiñ ye phere
thiiñ mahfileñ jahāñ par hai bekasoñ kā madfan
ye hathkañDe haiñ tere ye hathkañDe haiñ tere
ai vaqt-e-be-muravvat ai vaqt-e-be-muravvat
hai sal-e-nau ki aamad har shaKHs ki KHushi hai
kya rang laega ye is ki nahin KHabar kuchh
main jaanta hun zalim teri ye dil-lagi hai
dil mein nahin kisi ke jo maut ka KHatar kuchh
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
aalam ka lahza lahza mein haal kya se kya hai
muflis abhi tha koi masnad-nashin abhi hai
jita koi abhi tha ab dafn ho raha hai
zalim kabhi rifaqat tu ne kisi ki ki hai
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
kahna kisi ghaDi ko apna ghalat sarasar
aalam jise hain kahte taghir ka hai maskan
tujh ko agar main samjhun Thahra ghalat sarasar
zalim laga hua hai tujh mein bala ka engine
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
the KHar-zar jis ja hai bulbulon ka maskan
allah kis ghazab ke har aan hain ye phere
thin mahfilen jahan par hai bekason ka madfan
ye hathkanDe hain tere ye hathkanDe hain tere
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.