waqt katib hai
vaqt kātib hai to mistar chehre
jab se tahrīr-shanāsī mirī taqdīr huī
vo ma.ānī pas-e-alfāz nazar aate haiñ
jin ko pahchān ke dil Dartā hai
aur har chehre se
ek hī chehra ubhar aatā hai
jo mirā chehra hai
aur imroz kā ā.īna ye kahtā hai ki dekh
ādmī-zāde tirī umar kī shaam aa pahuñchī
sar pe ab raakh utar aa.ī hai
barf kanpaTiyoñ par
sāl-hā-sāl ke ālām se chehra jaise
varaq-e-ḳhasta pe pechīda lakīroñ kā hujūm
harf-e-ummīd-o-rajā
dāġh-e-girya kī girah meñ gum hai
naqsh umañgoñ ke tamannāoñ ke
dukh ke dhabboñ ne dabā rakkhe haiñ
aaj ik umr ke ādarsh kī tasvīr jo dhundlā.ī hai
us kī tohmat
merī kam-koshī ke sar aa.ī hai
merī ḳhāmoshī ke sar aa.ī hai
lafz zanjīr huā
ḳhauf-e-darbāñ hai tazabzub zindāñ
zindagī jabr-e-musalsal ke sabab
sar-nigūñ sāyoñ kā sahrā-e-sukūt
ab ḳharābāt meñ ḳhākistar-e-ḳhvāb
DhūñDhtī phirtī hai hone kā subūt
vo bhī the jo inhīñ dushvār guzargāhoñ se
mish.al-e-harf liye parcham-e-himmat thāme
apne ḳhvāboñ ke ta.āqub meñ ravāñ
be-ḳhatar jaañ se guzar jaate the
maiñ yahāñ sard salāḳhoñ se lagā taktā huuñ
is bayābāñ meñ bhī kuchh ḳhvāboñ ke rasiyā chehre
parcham-e-harf liye nikle haiñ
Dar rahā huuñ ki agar jaañ se na guzre
to tazabzub ke siyah zindāñ meñ
vo mirī tarah pashīmāñ hoñge
waqt katib hai to mistar chehre
jab se tahrir-shanasi meri taqdir hui
wo maani pas-e-alfaz nazar aate hain
jin ko pahchan ke dil Darta hai
aur har chehre se
ek hi chehra ubhar aata hai
jo mera chehra hai
aur imroz ka aaina ye kahta hai ki dekh
aadmi-zade teri umar ki sham aa pahunchi
sar pe ab rakh utar aai hai
barf kanpaTiyon par
sal-ha-sal ke aalam se chehra jaise
waraq-e-KHasta pe pechida lakiron ka hujum
harf-e-ummid-o-raja
dagh-e-girya ki girah mein gum hai
naqsh umangon ke tamannaon ke
dukh ke dhabbon ne daba rakkhe hain
aaj ek umr ke aadarsh ki taswir jo dhundlai hai
us ki tohmat
meri kam-koshi ke sar aai hai
meri KHamoshi ke sar aai hai
lafz zanjir hua
KHauf-e-darban hai tazabzub zindan
zindagi jabr-e-musalsal ke sabab
sar-nigun sayon ka sahra-e-sukut
ab KHarabaat mein KHakistar-e-KHwab
DhunDhti phirti hai hone ka subut
wo bhi the jo inhin dushwar guzargahon se
mishal-e-harf liye parcham-e-himmat thame
apne KHwabon ke taaqub mein rawan
be-KHatar jaan se guzar jate the
main yahan sard salaKHon se laga takta hun
is bayaban mein bhi kuchh KHwabon ke rasiya chehre
parcham-e-harf liye nikle hain
Dar raha hun ki agar jaan se na guzre
to tazabzub ke siyah zindan mein
wo meri tarah pashiman honge
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 234)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.