waqt ke nam ek KHat
zindagī bahut masrūf ho ga.ī hai
jo ḳhvāb mujhe aaj dekhnā thā
vo aglī paidā.ish tak multavī karnā paḌā hai
bachpan meñ lage zaḳhm par marham rakhne ke liye
doctor ne abhī sirf vaada kiyā hai
kal ke liye sāñseñ kamāte haath
sub.h tak chaa.e nahīñ pī sakte
lekin ghabrāo nahīñ
sab kī yahī hālat hai
vo batā rahī thī
us ne apnī suhāg-rāt tab manā.ī
jab vo haiz ke baras guzār chukī thī
zindagī bahut masrūf ho ga.ī hai
apnī saarī pūñjī bech kar
maiñ ne chand lamhe ye kahne ke liye ḳharīde haiñ
ki jab kabhī maiñ mar gayā
to koshish karnā
mujhe agle janam se zarā pahle dafnā denā
zindagi bahut masruf ho gai hai
jo KHwab mujhe aaj dekhna tha
wo agli paidaish tak multawi karna paDa hai
bachpan mein lage zaKHm par marham rakhne ke liye
doctor ne abhi sirf wada kiya hai
kal ke liye sansen kamate hath
subh tak chae nahin pi sakte
lekin ghabrao nahin
sab ki yahi haalat hai
wo bata rahi thi
us ne apni suhag-raat tab manai
jab wo haiz ke baras guzar chuki thi
zindagi bahut masruf ho gai hai
apni sari punji bech kar
main ne chand lamhe ye kahne ke liye KHaride hain
ki jab kabhi main mar gaya
to koshish karna
mujhe agle janam se zara pahle dafna dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.