waqt ki baadh
jhilmiloñ kī aaḌ meñ raqsāñ
dard kī āñdhī
shor machā kar
paanī kī dīvār uThā kar
vaqt kī sarhad toḌ rahī hai
paanī kī dīvār meñ qatra qatra rauzan khol rahī hai
āñkheñ apne haath baḌhā.e
rauzan ke us paar khulī haiñ
aks kī tah meñ
aks ko chhū kar dekh rahī haiñ
bhīge chehre
jismoñ kī mohtāt fasīloñ par chipke be-ḳhud pairāhan
dīvāroñ par giile tīroñ kī bauchhāroñ kī tahrīreñ
nashshe meñ gum peḌoñ ke ḳhvābīda patte
nikhrī ghaas meñ chāñdī ke labrez kaTore
sehr-zada galiyoñ kī bhīgī bhīgī āñkheñ
aur añgḌā.ī letī dhartī kī poroñ se uThtī sarshārī kī ḳhushbū
par aise meñ jal kar
bijlī dahāḌ ke haath jhaTak detī hai
paanī kī dīvār ke pīchhe
sab manzar dhuñdlā detī hai
vaqt kī baaḌh lagā detī hai
jhilmilon ki aaD mein raqsan
dard ki aandhi
shor macha kar
pani ki diwar uTha kar
waqt ki sarhad toD rahi hai
pani ki diwar mein qatra qatra rauzan khol rahi hai
aankhen apne hath baDhae
rauzan ke us par khuli hain
aks ki tah mein
aks ko chhu kar dekh rahi hain
bhige chehre
jismon ki mohtat fasilon par chipke be-KHud pairahan
diwaron par gile tiron ki bauchhaaron ki tahriren
nashshe mein gum peDon ke KHwabida patte
nikhri ghas mein chandi ke labrez kaTore
sehr-zada galiyon ki bhigi bhigi aankhen
aur angDai leti dharti ki poron se uThti sarshaari ki KHushbu
par aise mein jal kar
bijli dahaD ke hath jhaTak deti hai
pani ki diwar ke pichhe
sab manzar dhundla deti hai
waqt ki baDh laga deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.