waqt ki baat
vaqt hairān nigāhoñ se mujhe dekhtā hai
dekh kar haal ko shāyad use maazī kā ḳhayāl aatā hai
vaqt jab bhī kisī zartāb o hasīñ maazī ke gahnā.e hue
haal se do-chār huā kaañp uThā
us ko ma.alūm nahīñ hai maazī
kis tarah haal ke sāñche meñ bigaḌ jaatā hai
tū magar jāntī hai
talḳhi-e-zīst damakte hue shādāb o javāñ chehroñ ko
kaise afsurda-o-pazhmurda banā detī hai
kisī tarah shām-e-ḳhizāñ sub.h-e-bahārāñ bikhar jaatī hai
tū mujhe dekh kar hairān na ho
maiñ vahī huuñ tū jise hāsil-e-ummīd kahā kartī thī
maiñ vahī huuñ tū jise pahle-pahal dekh ke chauñk uTThī thī
aur ab dekh ke ye haal mire maazī kā hairān hai tū
dekh hairān na ho
vaqt hairānī pe majbūr hai ma.alūm nahīñ hai is ko
maazī kyuuñ haal ke sāñche meñ bigaḌ jaatā hai
aur tū vaqt nahīñ
waqt hairan nigahon se mujhe dekhta hai
dekh kar haal ko shayad use mazi ka KHayal aata hai
waqt jab bhi kisi zartab o hasin mazi ke gahnae hue
haal se do-chaar hua kanp uTha
us ko malum nahin hai mazi
kis tarah haal ke sanche mein bigaD jata hai
tu magar jaanti hai
talKHi-e-zist damakte hue shadab o jawan chehron ko
kaise afsurda-o-pazhmurda bana deti hai
kisi tarah sham-e-KHizan subh-e-bahaaran bikhar jati hai
tu mujhe dekh kar hairan na ho
main wahi hun tu jise hasil-e-ummid kaha karti thi
main wahi hun tu jise pahle-pahal dekh ke chaunk uTThi thi
aur ab dekh ke ye haal mere mazi ka hairan hai tu
dekh hairan na ho
waqt hairani pe majbur hai malum nahin hai is ko
mazi kyun haal ke sanche mein bigaD jata hai
aur tu waqt nahin
- Book : Rag-e-jan (Pg. 171)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.