waqt ki pabandi
sūraj ke dam-qadam se
raushan jahāñ hai saarā
hai is kī raushnī se
dilkash har ik nazzārā
sūraj agar na hotā
kuchh bhī yahāñ na hotā
sabze kā phuul phal kā
nām-o-nishāñ na hotā
sūraj kī raushnī se
har chiiz ḳhushnumā hai
go vaqt kā hai ḳhāliq
pāband vaqt kā hai
dilkash hai chāñd kaisā
har ik ko bhāne vaalā
hañs hañs ke āsmāñ se
dil ko lubhāne vaalā
phūloñ ko aur phaloñ ko
detā hai ḳhushnumā rang
kaliyoñ meñ pattiyoñ meñ
bhartā hai nit nayā rang
jis raah par chalāyā
ḳhāliq ne chal rahā hai
pāband hukm kā hai
pāband vaqt kā hai
vo dil-fareb taare
raushan hai raat jin se
sharminda jin se motī
hiire haiñ maat jin se
mālūm hai ye kis ko
kab se chamak rahe haiñ
in meñ damak vahī hai
jis roz se bane haiñ
in meñ har ik sitārā
chhoTā hai yā baḌā hai
dekho jo ġhaur se tum
pāband vaqt kā hai
suraj ke dam-qadam se
raushan jahan hai sara
hai is ki raushni se
dilkash har ek nazzara
suraj agar na hota
kuchh bhi yahan na hota
sabze ka phul phal ka
nam-o-nishan na hota
suraj ki raushni se
har chiz KHushnuma hai
go waqt ka hai KHaliq
paband waqt ka hai
dilkash hai chand kaisa
har ek ko bhane wala
hans hans ke aasman se
dil ko lubhane wala
phulon ko aur phalon ko
deta hai KHushnuma rang
kaliyon mein pattiyon mein
bharta hai nit naya rang
jis rah par chalaya
KHaliq ne chal raha hai
paband hukm ka hai
paband waqt ka hai
wo dil-fareb tare
raushan hai raat jin se
sharminda jin se moti
hire hain mat jin se
malum hai ye kis ko
kab se chamak rahe hain
in mein damak wahi hai
jis roz se bane hain
in mein har ek sitara
chhoTa hai ya baDa hai
dekho jo ghaur se tum
paband waqt ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.