Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waqt ki qadr

Faiz Ludhianvi

waqt ki qadr

Faiz Ludhianvi

MORE BYFaiz Ludhianvi

    ai ki ġhaflat meñ hai Duubā huā

    kaam karnā siikh tujh ko kyā huā

    aadmī DaT kar agar mehnat kare

    phir kamā le apnā zar khoyā huā

    ġhaur se dobāra paḌh lene ke ba.ad

    yaad ho jaa.e sabaq bhūlā huā

    aur kamzorī meñ varzish ke tufail

    ḳhuub moTā ho badan sūkhā huā

    lekin is duniyā meñ aisā kaun hai

    vaqt vāpas laa.e jo guzrā huā

    jis ne apne farz parvā na

    ek din pachhtā.egā rotā huā

    'faiz' manzil par pahuñch saktā nahīñ

    koī sīdhī raah se bhaTkā huā

    ai ki tu ghaflat mein hai Duba hua

    kaam karna sikh tujh ko kya hua

    aadmi DaT kar agar mehnat kare

    phir kama le apna zar khoya hua

    ghaur se dobara paDh lene ke baad

    yaad ho jae sabaq bhula hua

    aur kamzori mein warzish ke tufail

    KHub moTa ho badan sukha hua

    lekin is duniya mein aisa kaun hai

    waqt wapas lae jo guzra hua

    jis ne apne farz ki parwa na ki

    ek din pachhtaega rota hua

    'faiz' manzil par pahunch sakta nahin

    koi sidhi rah se bhaTka hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now