waqt ki qadr
dāvat
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
chaman kī god meñ aa kar samā bhī jā salmā
kalī kalī meñ bahāreñ basā bhī jā salmā
mujhe junūñ kā sabaq phir paḌhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
mileñge hashr meñ mat kah ye baar baar mujhe
ho kaise hashr ke va.ade pe e'tibār mujhe
ḳhudā ke dil pe nahīñ koī iḳhtiyār mujhe
ḳhudā ko maan yahīñ hashr uThā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
nashāt-e-umr ko ummīd par nisār na kar
visāl-e-sub.h-e-qayāmat kā intizār na kar
riyāz-e-ḳhuld kī bātoñ kā e'tibār na kar
fareb vāda-e-fardā miTā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
kise ḳhabar hai qayāmat meñ ham mileñ na mileñ
fazā-e-rauz-e-jannat meñ ham mileñ na mileñ
kashākash-e-abadiyyat meñ ham mileñ na mileñ
kashākash-e-abadiyyat bhulā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
gañvā na sog meñ apne shabāb kī rāteñ
nazar na ā.eñgī phir māhtāb kī rāteñ
ye nik.hatoñ kā hujūm aur ye ḳhvāb kī rāteñ
fazā meñ ḳhvāb-e-hasīñ ban ke chhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
ḳhabar le jald ki umr-e-azīz faanī hai
sarā-e-dahr kī har chiiz ānī-jānī hai
ba-rañg-e-abr-e-ravāñ fasl-e-naujavānī hai
chhalakne vaalā hai sāġhar pilā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
kise ḳhabar ye ghaTā.eñ raheñ raheñ na raheñ
ye nik.hateñ ye havā.eñ raheñ raheñ na raheñ
ye mastiyāñ ye fazā.eñ raheñ raheñ na raheñ
sharāb-e-vasl kā sāġhar pilā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
sabāt-e-ahd zamāne meñ kisī ne paayā hai
zamāna rañg badalne ko rañg laayā hai
bahār-e-umr-e-ravāñ bādaloñ kā saayā hai
bahār-e-umr kī ḳhushiyāñ manā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
tire ḳhayāl ko dil meñ basā.e baiThe haiñ
ḳhudā.ī ho ki ḳhudā ho bhulā.e baiThe haiñ
surūr-e-ahd-e-javānī luTā.e baiThe haiñ
tū aa ke qadr-e-javānī sikhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
ye fasl aur ye bahāreñ nazar na ā.eñgī phir
ye bādaloñ kī qatāreñ nazar na ā.eñgī phir
ye halkī halkī phuvāreñ nazar na ā.eñgī phir
sharāb-e-aish-e-masarrat luñDhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
batā tū kyā ye nazāre ujaḌ na jā.eñge
ye naddiyāñ ye kināre ujaḌ na jā.eñge
ye chāñd aur ye kināre ujaḌ na jā.eñge
sitāra-vār shuā.eñ luTā bhī bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
ġhamoñ pe kī haiñ fidā shādmāniyāñ ham ne
ḳhudā ke naam pe taj diiñ javāniyāñ ham ne
guzār dī haiñ yūñhī zindagāniyāñ ham ne
dam-e-aḳhīr tū ġham se chhuḌā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
fanā-nasīb haiñ ye sabza-zār ke manzar
ye kohsār dil-e-jūebār ke manzar
nazar na ā.eñge phir ye bahār ke manzar
abhī samāñ hai bahāreñ dikhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
ḳhabar le jald ki bahkī huī bahār hai aaj
nashāt-e-ḳhuld se ma.amūr sabza-zār hai aaj
ajal pe bhī mirī hastī ko iḳhtiyār hai aaj
ġhurūr-e-ishq kī himmat baḌhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
tū hukm de to sitāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ
falak se us ke nazāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ
iram kī mast bahāroñ ko chhīn lā.ūñ maiñ
ḳhudā.ī ko ye tamāshā dikhā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
tū sāmne ho to kaun-o-makāñ ko gum kar duuñ
ḳham-e-tarab meñ ḳham-e-āsmāñ ko gum kar duuñ
duī ho fard to donoñ jahāñ ko gum kar duuñ
ba-rañg-e-rūh badan meñ samā bhī jā salmā
bahār bītne vaalī hai aa bhī jā salmā
dawat
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
chaman ki god mein aa kar sama bhi ja salma
kali kali mein bahaaren basa bhi ja salma
mujhe junun ka sabaq phir paDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
milenge hashr mein mat kah ye bar bar mujhe
ho kaise hashr ke wade pe e'tibar mujhe
KHuda ke dil pe nahin koi iKHtiyar mujhe
KHuda ko man yahin hashr uTha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
nashat-e-umr ko ummid par nisar na kar
visal-e-subh-e-qayamat ka intizar na kar
riyaz-e-KHuld ki baaton ka e'tibar na kar
fareb wada-e-farda miTa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
kise KHabar hai qayamat mein hum milen na milen
faza-e-rauz-e-jannat mein hum milen na milen
kashakash-e-abadiyyat mein hum milen na milen
kashakash-e-abadiyyat bhula bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ganwa na sog mein apne shabab ki raaten
nazar na aaengi phir mahtab ki raaten
ye nikhaton ka hujum aur ye KHwab ki raaten
faza mein KHwab-e-hasin ban ke chha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
KHabar le jald ki umr-e-aziz fani hai
sara-e-dahr ki har chiz aani-jaani hai
ba-rang-e-abr-e-rawan fasl-e-naujawani hai
chhalakne wala hai saghar pila bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
kise KHabar ye ghaTaen rahen rahen na rahen
ye nikhaten ye hawaen rahen rahen na rahen
ye mastiyan ye fazaen rahen rahen na rahen
sharab-e-wasl ka saghar pila bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
sabaat-e-ahd zamane mein kisi ne paya hai
zamana rang badalne ko rang laya hai
bahaar-e-umr-e-rawan baadalon ka saya hai
bahaar-e-umr ki KHushiyan mana bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tere KHayal ko dil mein basae baiThe hain
KHudai ho ki KHuda ho bhulae baiThe hain
surur-e-ahd-e-jawani luTae baiThe hain
tu aa ke qadr-e-jawani sikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ye fasl aur ye bahaaren nazar na aaengi phir
ye baadalon ki qataren nazar na aaengi phir
ye halki halki phuwaren nazar na aaengi phir
sharab-e-aish-e-masarrat lunDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
bata tu kya ye nazare ujaD na jaenge
ye naddiyan ye kinare ujaD na jaenge
ye chand aur ye kinare ujaD na jaenge
sitara-war shuaen luTa bhi bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
ghamon pe ki hain fida shadmaniyan hum ne
KHuda ke nam pe taj din jawaniyan hum ne
guzar di hain yunhi zindaganiyan hum ne
dam-e-aKHir tu gham se chhuDa bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
fana-nasib hain ye sabza-zar ke manzar
ye kohsar dil-e-juebar ke manzar
nazar na aaenge phir ye bahaar ke manzar
abhi saman hai bahaaren dikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
KHabar le jald ki bahki hui bahaar hai aaj
nashat-e-KHuld se mamur sabza-zar hai aaj
ajal pe bhi meri hasti ko iKHtiyar hai aaj
ghurur-e-ishq ki himmat baDha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tu hukm de to sitaron ko chhin laun main
falak se us ke nazaron ko chhin laun main
iram ki mast bahaaron ko chhin laun main
KHudai ko ye tamasha dikha bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
tu samne ho to kaun-o-makan ko gum kar dun
KHam-e-tarab mein KHam-e-asman ko gum kar dun
dui ho fard to donon jahan ko gum kar dun
ba-rang-e-ruh badan mein sama bhi ja salma
bahaar bitne wali hai aa bhi ja salma
- Book : kulliyat-e-akhtar shirani (Pg. 169)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.