waqt ko kis ne roka hai
tujh se jaane kitnī bāteñ karnī thiiñ
tere bāloñ kī ik laT ko
tere hoñToñ par se apne hoñToñ tak laanā thā
tere sirhāne an-dekhe ḳhvāboñ kī qatāreñ
terī ā.ankhoñ ke sāgar meñ nīndoñ kī kashtī
maiñ terā māñjhī
kitne dīpoñ kā ye safar jo nayā anokhā, an-jānā thā
lekin sub.h kī kirnoñ ke tūfāñ kā koī Thikāna na thā
vaqt ko kis ne rokā, vaqt ko āḳhir jaanā thā!!
tujh se jaane kitni baaten karni thin
tere baalon ki ek laT ko
tere honTon par se apne honTon tak lana tha
tere sirhane an-dekhe KHwabon ki qataren
teri aaankhon ke sagar mein nindon ki kashti
main tera manjhi
kitne dipon ka ye safar jo naya anokha, an-jaana tha
lekin subh ki kirnon ke tufan ka koi Thikana na tha
waqt ko kis ne roka, waqt ko aaKHir jaana tha!!
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 681)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.