waqt
vaqt us ko hī pyaar kartā hai
jo use pur-vaqār kartā hai
vaqt jā kar kabhī nahīñ aatā
ye bhalā kis se pyaar kartā hai
jo bhī karnā hai bas vo kar guzro
vaqt kab intizār kartā hai
kho diyā jis ne vaqt ko be-kār
umr bhar dukh shumār kartā hai
vaqt kā ho gayā hai jo pāband
aql vo iḳhtiyār kartā hai
vaqt gar aadmī kā achchhā ho
har koī e'tibār kartā hai
vaqt jis kā ḳharāb ho jaa.e
us ko ye zaar zaar kartā hai
vaqt kā e'tibār mat karnā
vaqt kab e'tibār kartā hai
vaqt kī har bahār hai 'abrār'
vaqt har pal bahār kartā hai
waqt us ko hi pyar karta hai
jo use pur-waqar karta hai
waqt ja kar kabhi nahin aata
ye bhala kis se pyar karta hai
jo bhi karna hai bas wo kar guzro
waqt kab intizar karta hai
kho diya jis ne waqt ko be-kar
umr bhar dukh shumar karta hai
waqt ka ho gaya hai jo paband
aql wo iKHtiyar karta hai
waqt gar aadmi ka achchha ho
har koi e'tibar karta hai
waqt jis ka KHarab ho jae
us ko ye zar zar karta hai
waqt ka e'tibar mat karna
waqt kab e'tibar karta hai
waqt ki har bahaar hai 'abrar'
waqt har pal bahaar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.