waqt
ye nannhī sī guḌiyā
jise do baras ho ga.e haiñ
maiñ japan se le kar aayā
ye raqqāsa rangīn kapḌoñ meñ malbūs
isī ek andāz se do baras se khaḌī hai
na pallū hī sarkā
na hāthoñ se rūmāl rangīñ hī chhūTā
na sar se ye tāj-e-sarfarāzī-o-kaj-kulāhī haTā
us kā vaisā hī ma.asūm chehra
vahī zer-e-lab muskurāhaT
vahī qaus-e-abrū
vahī chashm-e-bīnā
javāñ jāvedāñ
ye guḌiyā ye raqqāsa ye vaqt kā nuqta-e-markazī
jism ke paiham ravāñ an-ginat dā.eroñ meñ
pareshān-o-āvāra phirtā rahā huuñ
mirā chehra ik dāstāñ hai
mirī umr-e-rafta kī
in gardishoñ kī
magar fāsla hai ki vaise kā vaisā rahā
mere kamre meñ ye aaj bhī
mere nazdīk itnī hai jitnī koī do baras qabl thī
farq itnā hai
ye vaqt kā nuqta-e-markazī
aur maiñ vaqt ke dā.eroñ meñ asiir
ye nannhi si guDiya
jise do baras ho gae hain
main japan se le kar aaya
ye raqqasa rangin kapDon mein malbus
isi ek andaz se do baras se khaDi hai
na pallu hi sarka
na hathon se rumal rangin hi chhuTa
na sar se ye taj-e-sarfaraazi-o-kaj-kulahi haTa
us ka waisa hi masum chehra
wahi zer-e-lab muskurahaT
wahi qaus-e-abru
wahi chashm-e-bina
jawan jawedan
ye guDiya ye raqqasa ye waqt ka nuqta-e-markazi
jism ke paiham rawan an-ginat daeron mein
pareshan-o-awara phirta raha hun
mera chehra ek dastan hai
meri umr-e-rafta ki
in gardishon ki
magar fasla hai ki waise ka waisa raha
mere kamre mein ye aaj bhi
mere nazdik itni hai jitni koi do baras qabl thi
farq itna hai
ye waqt ka nuqta-e-markazi
aur main waqt ke daeron mein asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.