wasiyyat
mere kamre kī dīvār par
ik qatār
kitne ‘ahdoñ kī āvezāñ hai
har 'ahd apnī peshānī par
kuchh qasīde hai likhe hue
paḌhte paḌhte jinheñ
maiñ to uktā chukā huuñ aur ab
maiñ ne apne 'ahd ke liye
sirf nauhe likhe
sirf nauhe magar
maiñ ye chāhūñgā
tum altamash
ye sabhī dā.ere toḌ kar
sirf apne liye
koī lafzoñ kā jaadū jagānā nahīñ
aur dīvār par
is 'ahd ko sajānā nahīñ
mere kamre ki diwar par
ek qatar
kitne ‘ahdon ki aawezan hai
har 'ahd apni peshani par
kuchh qaside hai likhe hue
paDhte paDhte jinhen
main to ukta chuka hun aur ab
main ne apne 'ahd ke liye
sirf nauhe likhe
sirf nauhe magar
main ye chahunga
tum altamash
ye sabhi daere toD kar
sirf apne liye
koi lafzon ka jadu jagana nahin
aur diwar par
is 'ahd ko sajaana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.