wasl
maiñ ne terī yaad kā lamha boyā thā
ḳhuun pilāyā thā dhartī ko
dard-o-ġham kī khaad bhī Daalī
mere aañsū ke sūraj ne
hijr ke paude ko sīñchā thā
aur ab dekho
hijr kā paudā peḌ banā to
us par vasl ke phuul aur phal aa.e haiñ
main ne teri yaad ka lamha boya tha
KHun pilaya tha dharti ko
dard-o-gham ki khad bhi Dali
mere aansu ke suraj ne
hijr ke paude ko sincha tha
aur ab dekho
hijr ka pauda peD bana to
us par wasl ke phul aur phal aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.