wasl
sahar ke vaqt
kuñvārī zamīn shabnam meñ nahā ke leTī hai
vo sabz chādar-e-gul-tāb
āriz-e-mahtāb
ḳhumār-e-ḳhvāb kā aalam
vo intizār kā aalam
ki duur des se jaise
kabhī to aa.egā
vo duur des se sūraj kā devtā aayā
aur apnī tez nigāhoñ se gudgudī kartā
vo jauf-ul-arz ke nisfunnahār par pahuñchā
zamīñ pe ḳhauf kī ik zard lahar sī phailī
magar vo sabz sā jaadū kuñvārī dulhan kā
fazā pe chhā hī gayā ik ḳhumār kā aalam
utar gayā hare shīshe meñ devtā āḳhir
vo shaam lams dhuñdalkā
laboñ kā rang laboñ meñ ghulā
hasīn thā manzar
lazīz thā lamha
havā kī añgḌā.ī
aur us ke baa'd bhayānak havā ke zanāTe
sahar ke waqt
kunwari zamin shabnam mein naha ke leTi hai
wo sabz chadar-e-gul-tab
aariz-e-mahtab
KHumar-e-KHwab ka aalam
wo intizar ka aalam
ki dur des se jaise
kabhi to aaega
wo dur des se suraj ka dewta aaya
aur apni tez nigahon se gudgudi karta
wo jauf-ul-arz ke nisfunnahaar par pahuncha
zamin pe KHauf ki ek zard lahar si phaili
magar wo sabz sa jadu kunwari dulhan ka
faza pe chha hi gaya ek KHumar ka aalam
utar gaya hare shishe mein dewta aaKHir
wo sham lams dhundalka
labon ka rang labon mein ghula
hasin tha manzar
laziz tha lamha
hawa ki angDai
aur us ke ba'd bhayanak hawa ke zanaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.